Train Ki Jankari Current Running Status Location Kaise Pata Kare in Hindi
Train Ki Jankari Current Running Status Location Kaise Pata Kare in Hindi (Rail Information in Hindi) Friends aaj janege ki kaise hum kisi bhi indian train ki jankari kaise prapt kar sakte hai or kaise hum Rail Information ko bade hi aaram se online pata laga sakte hai .
Train Ki Jankari Current Running Status Location Kaise Pata Kare in Hindi
Train ki jankari or kisi bhi indian train ki information ke liye hume ek website pe jana padega jo ki government ki website hai jiska name hai National Train Enquiry System to hume is website me jana padega.
National Train Enquiry System ki website me jane ke liye apne internet browser me type kare – enquiry.indianrail.gov.in ya fir direct website me jane ke liye yaha par click kare : National Train Enquiry System
National Train Enquiry System ki website me jane ke bad aapke samne ek popup aayega usko OK kar de ya close kar de . Fir aapke samne niche di gai image jaisa page open hoga .
Is website ka use kar ke hum indian train ki information ko bade hi aaram se nikal sakte hai. Is website me bahut sare option hai in sab option ko hum ekek kar ke dekhte hai .
Train Ki Current Running Status or Location Kaise Pata kare
National Train Enquiry System ki website me aapko uper Spot Your Train likha huva dekhega niche image me option 1 dekhe . Spot Your Train par click kar ke hum kisi bhi train ka current status or live uski jankari prapt kar sakte hai . niche diye gaye staps ko follow kare.
- kisi bhi train ki current running status ko dekhne ke liye website me diye gaye Spot Your Train ke tab par click kare . uper image me point 1 dekhe.
- Uske baad Enter train name / No. me jis bhi train ki current running status ko dekhna hai us train ka name ya train number ko dale .
- Train name ya number dalne ke baad aapko page me right side me All Running Instances ka button dekh ra hoga us par click kare . uper image me point 3 dekh .
- Ab aapke samne sabhi current chal rahi train ki list aa jayegi jis bhi data ki tarin ka pata karna ho aap us par click kar de .
or jaise hi aap apne train ko select karenge aapke samne uski current location or sari jankari live aa jayegi . to friends is tarh se aap Spot Your Train vale tab se apni train ka current running status check kar sakte hai . Is website se hum kisi bhi station se gujarne vali train ki jankari nikal sakte hai aaiye jante hai .
Kisi Bhi Station se Gujarne Vali Train Ka Pata Kaise Lagaye
Agar aap kisi station par hai ya aapko kisi station se kuch ghanto me gujarne vali sabhi train ki jankari chahiye to aap bhut aasani se pata kar sakte hai . niche diye gaye steps ko dekhe .
- Website me aapko Live Station
- yaha par aap ko jis station se gujarne vali train ki jakari chahiye us station ko yaha dale . uper image me point 2 dekhe .
- Agar aapko kahi jana hai to aap yaha par us startion ko yaha par daal sakte hai par ye optional hai ( isko bharna jaruri nahi hai khali bhi chod sakte hai )
- yaha par aap time ko select kare . yaha pahle se 2 select rahta hai . iska ye matlb huva ki 2 ghante me yaha se gujarne vali sabhi train ki jankari milegi . To aap yaha apne hisab se time set kar sakte hai . uper image me point 4 dekhe .
- yaha par aapko kis typr ki train ki jankari chahliye vo select kar sakte hai .
- Ab aap Go par click kar de .
Go par click karte hi aapke samne us station se gujarne vali sabhi train ki list aapke samne aa jayegi , to is tareh se aap kisi bhi station se gujarne vali trains ka pata laga sakte hai .chaliye jante hai ki is website ka istemaal kar ke do stations ke biche ki trains ka pata kaise lagate hai .
Do Station Ke Biche Ki Train Ka Pata Kaise Lagaye ( Train Between Station)
Friends kai bare hame do stations ke biche ki train ki jankari chahiye hoti hai to me aapko bata du ki hum bahut hi aasani se do station ke biche ki train ka pata is websites se laga sakte hai . aapko is website me ek Tab Train Between Stations dikhe raha hoga . yaha se hum do stations ke biche ki trains ka pata aaram se laga sakte hai .
- Train Between Stations is name ka tab aapko is website par dkhega is par click kar ke aap kisi bhii do stations ke bich ki train ka pata laga sakte hai . uper image me point 1 dekhe .
- From me aap us station ka name dale jis station se aapko jurny start karni hai kahne ka matlab pahle station ka name yaha dale . uper image me point 2 dekhe .
- To yaha par aap dusre station ka name dale .
- yaha par aap train type ko select kare . uper image me point 4 dekhe .
- Ab Go ki button par click kar de .
Jaise hi aap Go ki button par click karenge vaise hi aapke bataye huve station se bich chalne vali ( Train Between Stations ) sabhi trains ki jankari aapko nil jayegi .
Train Schedule , Cancelled Train , Rescheduled or Diverted Train Ka Pata Kaise Lagaye
Agar aap kisi train ka schedule ya cancel ho gai , Rescheduled ho gayi or divert ho gayi train ki jankari chahte hia to vo bhi aap yaha se aaram se prapt kar sakte hai .
- Yaha aapko Train Schedule ka tab dikhega jis par aap click kar ke aap kisi bhi train ke schedule ki jankari prapt kar sakte hai . jaise hi aap is par click karenge to aapke samne train name ya train number ko dalne ka option aayega . To aap yaha par jis bhi train ke schedule ko janana chahte us train ka name ya number dal ke pata laga sakte hai .
- Trains Cancelled ke tab par click karke aap cancelled train ki information prapt kar sakte hai . jaise hi aap Train Cancelled ke Tab par click karenge to aapke samne sabhi cancelled train ki list aa jayegi . uper image me point 2 dekhe .
- Rescheduled ke Tab par click kar ke aap reschedul hui sabhi train ki jankari prapt kar sakte hai .
- Diverted ke Tab par click kar ke aap divert hui trains ki jankari prapt kar sakte hai . uper image me point 4 dekh .
To is tareh se aap kisi bhi Train ka schedule dekh sakte hai , Cancelled train ki jankari prapt kar sakte hai , Rescheduled or Divert hui sabhi trains ki jankari ko prapt kar sakte hai .
Train Ki Current Location Ko Map Par Kaise Dekhe Or Pata Lagaye
Aap is website ka use kar ke kisi bhi train ki current location ka pata map par bhi laga sakte hai . Or apni train ki sthiti ko Map par bade aaram se dkhe sakte hai To chaliye jante hai ki kisi bhi train ki curent location or uski sthiti ko map par kaise dekhte hai .
National Train Enquiry System ki website par aapko ek Tab IR Train Tracker ke name se dikhega us par click kare . niche image dekhe .
jaise hi aap IR Train Tracker par click karenge aap ek new page par chale jayenge . vo page aapko niche di gayi image jaisa dekhega .
- Yaha par aapko uper Train No./Name likha huva dekhega yaha apni train ka name ya uska number dale jis train ki informaion ko aap map par dekhna chahte hai .
- uske baad Journey Station me jis station se aapko vo train ko pakadna hai vo dale uper image me point 2 dekhe .
- Fir Journey Date me journey ki date ko select kare .
Or jaise hi aap ye sab karenge vaise hi aap apni train ki current location or uski jankari ko map me dakh payenge . Is Tareh se ap kisi bhi train ki location ko map par dekh sakte hai .
To Friends is tareh se aap National Train Enquiry System ki website ka use kar ke kisi bhi indian train ki jankari prapt kar sakte hai . Aapko ye jankari kaisi lagi hume comment kar ke bataye or agar kisi train ki information nikalna me koi problem aa rahi hai to bhi coment kar ke jarur bataye hum aapki help karenge .
Is Jankari ko jyada se jyada logo me , apne friends or family me share kare jisse unko bhi iske bare me pata chale to dusro ki help jarur kare .
Video Tutorial :
Niche diye gaye video me aap janege ki Train Ki Jankari Location Information kaise Pata Kare ( Find Current Train Running Status Location in Hindi ) video ko dekhe or jankari prapt kare .
Agar aap is tarah ke or Hindi tutorial ko dekhna chahte hai to yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=tGC1Xo_3Hy8″]
Agar aapko ye video pasand aaya ho to hindi ke YouTube chennal ko subscribe jarur kare . Subscribe karen ke liye yaha click kare : Subscribe
Agar aap yaha par apna video chahte hai to Contact Us.
[su_divider]
Train Ki Jankari Current Running Status Location Kaise Pata Kare in Hindi , Rail Information in Hindi , Train ki Jankari in Hindi , Train ki Location Kaise Pata Kare , How to Track Train Location in Hindi , Find Current Train Running Status in Hindi , Indian Railway , Train Location Timing Schedule in Hindi
Hello,
Aapne Train Ki Live location janne ke bare me kafi ache se samjaya hai Iske Sath hi NTES ke use ke use ke bare me bhi bataya hai, NTES ek bahut achi app aur website hai jiski help se hame sabhi parkar ke Train ki jankari mil jati hai.
Thanks
Thanks For Comment Pradeep Singh !