Twitter Me Kisi Ko Block Kaise Kare in Hindi
Twitter Me Kisi Ko Block Kaise Kare in Hindi , Twitter to aap use karte hi honge par kya aapko pata hia ki twitter me bhi bahut se log hote hai jo logo ko paresaan karte rahte hai , aapke tweets par kuch comments kar dete hai ya aapko kisi photo me teg kar lete hai kahne ka matlab ki aapko twitter par paresaan karta hai or aap nahi chahte ke vo user aapse interact kare. To fir kya kare , kya kuch hia jisse kisi user ko block kar sakte hai .
Twitter me agar aapko koi paresaan krata hai ya koi spam karta hai Ya aap nahi chahte ki koi user aapko twitter pe direct message message na kare , aapko paresaan na kare aapko follow na kar paaye or aapke tweets ko na dekhe paye to aap bade aaram se usko Twitter ke block feature ka use kar ke block kar sakte hai . Kisi to twitter me Block karne ke liye aap is post me bataye huve steps ko follow kare .
Twitter Me Kisi Ko Block Kaise Kare in Hindi
Twitter me kisi ko block karne ke liye sabse pahle aap twitter.com par jaye. Twitter me jane ke baad aap twitter me apne account me Sign In kare . Sign in karne ke liye website me top right side me Log in button pe click kare . niche image dekhe .
Ab hame jis user ko block karna hai hame uski profile me jana hai , vahi se hum usko block kar sakte hai. Agar us user ka name aapko pata hai jisko aap block karna chate hai to aap usko twitter me search bhi kar sakte hai . niche image dekhe .
- Twitter ke search box me us user ka name type kare or usko search kare . Uper iamge me point 1 dekhe .
- Ab search result me se uske name par click kare jisko aap block karna chahte hai .
AB aap use user ki twitter profile me chale jayenge . User ki profile me jaane ke baad hum us user ko bade aaram se block kar sakte hai . niche image dekhe .
- Jisko block karna hai uski profile ke right side me Tin dot par click kare . uper image me point 1 dekhe .
- Jaise hi aap Tin Dots pe click karenge vaise hi aapke samne kai sare option aa jayenge , un option me se Block @user par click kar de . uper image me point 2 dekhe .
Jaise hi aap block vale option par click karenge , Aapke samne ek Block ka popup aayega yaha par aapko confirm karna hai . To aap yaha par Block ki button par click kar de .
- Ye Bhi Jane : Chori ya Gum Ho Gaye Android Mobile Ko Kaise Khoje or Pata Lagaye
- Android Mobile Phone ko CCTV Camera Kaise Banaye
Block par click karte hi vo user ab block ho jayega . Ab vo user aapko twitter me paresaan nahi kar payega . To is tareh se aap kisi ko bhi Twitter par block kar sakte hai . Friends ek or settings ke bare me aapko janna jaruri hai ki agar aap kisi ko block karte hai to aap unuser ko kaha par dekhenge ki aapne kitne user ko block kiya hai .
Twitter par aapne jin user ko block kiya hai , Un user ko hu kaise pata kar sakte hai, chaliye jante hai . Niche image me dekh kar steps ko samjhe .
- Twitter par top right me uper aap apni profile photo par click kare . Uper image se point 1 dekhe .
- Usek baad apke samne jo option aaye usme se aap Settings and privacy par click kare .
Settings and privacy par click karte hi aap Twitter ki Settings me chale jayenge yaha par jane ke baad aap Left side me Blocked accounts par click kare . niche image me dekhe .
Settings and privacy par click karne ke aad aap un sabhi twitter user ko dekhe sakte hai jinko aapne block kiya huva hai . Aap yaha se usko unblock bhi kar sakte hai .
Friends aap is tareh se kisi bhi user ko twitter par block kar sakte hai . Umid hia ki ab aap jaan gaye honge ki kya steps ko follow karna hai or aap bhi us user ko bade aram se block kr paayenge jo aapko twitter me paresaan karta hai . Aapko hamari ye information kaisi lagi comment kar ke bataye , Or information ko apne friends and family me share jarur kare . Thanks .
Ye Bhi Padhe :
- Twitter Account Delete Or Deactivate Kaise Kare in Hindi
- Internet Ki Speed Kaise Badhaye Fast Kaise Kare
- Facebook Profile ko Search Engine se Kaise Hide Kare in Hindi
[su_divider]
Twitter Me Kisi Ko Block Kaise Kare in Hindi , Twitter Me Kisi Ko Block Kaise Karte Hai, How To Block Someone on Twitter in Hindi