Twitter Par Account Kaise Banaye in Hindi
Twitter Par Account Kaise Banaye in Hindi , Friends aaj kal hum sab internet ka use karte hai Or internet par aapne bhut sari social websites dekhi hogi or use bhi kari hongi jaise Facebook , Google+ etc.. maire hisab se aaj kal har koi social media par account banata hai or apne friends or family se in sites ki madat se juda rahta hai . Agar aapne twitter account nahi banaya hai to aaj hum twitter par account banana sikhenge , Twitter bhi facebook ki tareh hi bahut popular social media website hai . To chaliye time barbad na karte huve Tiwtter ke bare me jaante hai .
Twitter Kya Hai
Twitter ek Free Social networking site hai . Twitter ko Micro Blogging site bhi kah sakte hai . Twitter ko March 2006 me Jack Dorsey, Evan Williams, Biz Stone, Noah Glass ne banaya tha or unhone July 2006 ko twitter ko lonch kiya tha . Twitter kafi jaldi popular ho gaya or 2012 tak lagbhag iske 1000 lakh user ho gaye or isme 3400 tweet roj hone lage . 2013 tak twitter duniya ki top 10 websites me samil ho gaya . Twitter ko “the SMS of internet” bhi kaha jata hai .
Jaisa ki maine aapko pahle hi bataya ki ye ek micro blogging site hai . Twitter me user 140 word ke message ko share kar sakte hai , in messages ko tweet kahte hai . Twitter par account bana kar aap kisi ko foloow kar sakte hai or koi bhi aapko follow kar sakta hai . Aap jo bhi tweet karenge aapke follower usko dekhe payenge . To friends ye kuch simple baate hai jo aapko twitter par account banane se pahle pata honi chahye . Chaliye ab jante hai ki Twitter Par Account Kaise Banate Hai .
Twitter Par Account Kaise Banaye in Hindi
Twitter par account banane ke liye sabse pahle aap apne internet bowser ko open kare or fir uske address bar me twitter.com likh kar Enter button dabaye or twitter ki website par jaaye .
Twitter ki website me jaane ke baad , aapke right side me uper ki taref Sign up ka button dikhai dega . Twitter me Account banane ke liye Sign up ki button par click kare .
Agar aap chahe to aap yaha par click kar ke direct bhi twitter ke signup page par ja sakte hai : Twitter Sign up
Twitter Sign up page par jaane ke baad aapke samne niche di hui image jaisa form aayega , Yaha par hume kuch details ko bharna hai .
- Sabse pahle yaha par apna Full name likhe . uper image me point 1 dekhe .
- Uske niche jaha Phone or Email likha hai , Yaha par aap apne Mobile number ya fir Email address dale (hum yaha par phone number daal re hai).
- Password wale box me aap apne twitter account ke liye jo password rakhna chahte hai usko dale . uper image me point 3 dekhe.
- Yaha par Tik kar de .
- Sab kuch bharne ke baad Sign up ki button par click kar de .
Friends agar aapne sign up page me phone number daal kar sign up kiya hoga to aapke mobile phone par twitter se ek message aayega jisme verification code hoga us code ko yaha par daale or apne mobile number ko verify kare .
- Mobile par aaye verification caode ko yaha par daale . Uper image me point 1 dekhe .
- Verification code ko dalne ke baad , Mobile number ko verify karne ke liye Verify ki button par click kare .
- Agar aapke mobile me verification code kisi karan se nahi aaya hai to aap Re-send SMS par click kar ke dubara Verification code ko pa sakte hai .
- Agar aapko lagta hai ki aapne apne mobile number dalat likh diya tha to aap Edit phone number par click kar ke apne number ko edit bhi kar sakte hai . Uper image me point 4 dekhe .
To is tareh se aap apne mobile number ko varify kar sakte hai . Par agar aapne Email daal kar sign up kiya hai to aapke bataye huve email par twitter se ek Email jayega , Apne email address ko confirm karnne ke liye aap apne email ke inbox me jaye or twitter se aaye huve Email ko open kare .
Twitter se aaye huve Email me aapko ek Confirm now ka button milega , Us par click kar ke aap apne Email address ko confirm kar sakte hai . Uper image dekhe .
Ab next step me aapko twitter ke liye username ko choose karne hai . Twitter pe user name ko select karne se pahle hum kuch baato ko jaan lete hai .
- Twitter par aap jo bhi Username rakhe vo pahle se kisi ka nahi hona chahiye .
- Twitter par jo bhi aap user name select karenge vo hi dusre logo ko aapki profile ka name dikhai dega . Username vahi rakhe jisse aapke friends aapko jaane sake pahchan sake or aapko follow kar sake .
- Twitter par aap jo Username select karnge vahi aapke twitter profile ka URL bhi hoga . Jaise hamara twitter ka URL hia : https://twitter.com/KaiseKamaye
- Twitter User name me aap Admin or Twitter word ko nahi le sakte.
- Yaha par aap Username daale jo aap twitter account ke liye rakhna chhate hai . Uper image me point 1 dekhe .
- User name dalne ke baad Next ki button par click kar de .
Next karte hi aapke samne niche di hui image jaisa page open hoga . Yaha par aap Let’s go! ki button par click kar dijiye .
Ab aapka Twitter account ban chuka hai twitter aapko apne man pasande hobby ko chosse karene ko bol sakta hai ya fir twitter aapko kuch logo ko follow karne ko bhi bol sakta hai . agar aap kisi ko follow karna chahte hai to follow kar sakte hai ye skip bhi kar sakte hai .
Is tareh se aap apne Twitter account ko bana sakte hai. Aap apne twtter account me ja kar Profile photo bhi set kar sakte hai or sab information ko bhar sakte hai.
- Twitter pe tweet karna ke liye Tweet ki button par click kar (Uper image me point 1 dekhe) , Or jo bhi aap tweet karna chahte hai vo 140 word me likhe or tweet kar de , Tweet karte hi aapke sabhi follower us tweet ko dekh sakte hai react kar sakte hai .
- Agar aap apni twitter profile ko edit karna chhate hai to Edit profile ki button par click kare . Uper image me point 2 dekhe .
Jo steps hmane bataye hai inko follow kar ke aap aasani se twitter account bana sakte hai , Is tareh se aap bhi apne twitter account bana sakte hai or apne friends or family se jud sakte hai, tweet kar sakte ahi or apni baat ko sabke sath share kar sakte hai . Aap twitter par kaisekamaye ko follow kar ke hamse jhud sakte . Hamse twitter par judne ke liye yaha click kare or hame follow kare : KaiseKamaye Twitter .
Aapko hamari ye post Twitter Par Account Kaise Banaye in Hindi kaisi lagi hame comment kar ke jarur bataye . Agar aapko twitter account banane me koi problem ho ri hai to aap apne question ko comment kar ke jarur puche , hum aapki help karenge . Is information ko share karna na bhule , Thanks .
[su_divider]
Twitter Par Account Kaise Banaye in Hindi , Twitter Par Account Kaise Create Karte Hai, Twitter Kya Hai, Twitter Par Account Kaise Banate Hai , How To Create Twitter Account in Hindi
sir mere twitter account par link karne pr twitter par verification ke liye notification aata hai uske liye mujhe kya karna padega.
read more here : help.twitter.com/en/managing-your-account/twitter-verified-accounts
good post sir very good post sir app mere liye traffic badhane ka koyi rasta batao plz sir