VLC Media Player Se Screen Record Kaise Kare in Hindi
VLC Media Player Se Screen Record Kaise Kare in Hindi, Friends bahut sare log hamse ye puchte hai or janna bhi chahte hai ki computer ya laptop ki screen ko kaise record karte hai . Kuki bahut se log apne YouTube channel pe apne computer screen ko record kar ke video tutorial banana chahte hai . To jyada tar log jab apne computer screen ko record karne ke bare me sochte hia to unhe lagta hai ki koi iske liye software ya spacial kuch apne system me install karna padega sirf screen record karne ke liiye . Lakin friends iske alava bhi kai sare tarike hai jin ki help se hum abde aram se screen record kar sakte hai. (VLC Se Screen Recording Kaise Kare)
To me aap sabhi ko aaj ek bahut hi badhiya tarika batunga jis se aap aaram se screen record kar sakte hai . Aaj me aapko VLC media player ka use kar ke computer screen record karna batunga . Hum sab VLC player ke bare me jante honge or use bhi karte honge lakin kya aapko pata hai ki hum VLC Media Player ka use kar ke Screen ko bhi record kar sakte hai . ji ha hum vlc se movies dekhne ke alava vlc se screen recording bhi kar sakte hai . To chaliye bina samy gavaye jante hai ki VLC Media Player Se Screen Record Kaise Karte Hai .
VLC Media Player Se Screen Record Kaise Kare in Hindi
VLC Media Player Se apne computer ki screen ko record karne ke ke liye aapke system me VLC plyer hona chahiye agar aapko computer me VLC Player nahi hai to usko install kar le , install karne ke baad VLC player ko open kare .
VLC Player ko open karne ke baad aap VLC ke top menu me Media par click kare fir aapke samne jo option aaye usme se aap Open Capture Device… par click kare . Media >> Open Capture Device .. niche image dekhe.
Open Capture Device… par click karte hi aap Open media settings me chale jayenge or yaha par aap Capture Device tab me honge . niche image dekhe .
- Dyan rakhe ki aap Capture Device tab me ho ab aap yaha par Capture mode me Desktop ko select kare . uper ki image me steps ko dekhe .
Jaise hi aap Capture mode me Desktop ko select karenge aapke samne nice ki taref new settings aa jayengi Desktop ko capture karne ke liye .
- Ab yaha par aap jis frame rate par apni desktop screen ko record karna chante hai vo frame rate yaha par dale . Acchi recording ke liye 25 ya 30 dale , me yaha par 30 fps daal ra hu . uper image me point 1 dekhe .
- Ab Play kae samne bane arrow pe click kare .
- Convert ko select kare . uper image me point 3 dekhe .
Jaise hi aap Convert ko select karenge vaise hi aapke samne Convert ki setting ka popup aayega .
- Yaha par Profile me aap jis format me video record karna chahte hai vo select kare , hamne yaha par Video -H.264 + MP3 (MP4) ko select kiya hai . uper image me point 1 dekhe .
- Ab aap Destination file ko set kare , jaha par aap apne video ko record kar ke save karna chahte hai us location ko Browse ki button pe click kar ke select kare or file name set kare .
- sab kuch set karne ke baad computer screen recording ko start karne ke liye Start ki button par click kare .
Jaise hi aap start ki button par click karenge aapke computer ki screen record hone lagegi . ab aap jo bhi apne computer me karenge vo sab record hota rahega . jab aapo computer screen recording band karna ho to aap VLC player me Stop ki button ko daba de , Screen recording ruk jayegi .
To Friends aap is tareh se VLC Media Player ki madat se apne computer ya lapton ki screen ko bade aaram se record kar sakte hai . Mujhe umid hai ki hamari ye post aapke kaam ki jarur hogi , aapko hamari post kaisi lagi comment kar ke jarur bataye or apne friends , family me is information ko share jarur kare .
[su_divider]
VLC Media Player Se Screen Record Kaise Kare in Hindi, VLC Media Player Se Computer Ki Screen Kaise Record Kare, Computer Ki Screen Kaise Record Kare, Laptop Ki Screen Kaise Record Kare, How To Record Desktop Using VLC in Hindi
Hello
Very nice article
Great guide. I don’t know VLC can record computer screen. In my mind, it’s just a good video player. Thanks for sharing your experience. I used to create screen cast with Acethinker online screen recorder, free and works like a charm. Share it here as an alternative to VLC player.
Acethinker is a good Product , Thanks For Information .
mai jab vlc me apke bataye anusar apane desktop windows 7 me record karta hu fir jaab vapas vlc midea playar me jata hu to
Ooops:VLC media player just crashed.
Would you like to send a bug report to the developers team?
yes no
es tarah ka eror ataa hai
to sir g samasya ka samadhan karne ki kripa karen.
dhanyvad
Really helpful information and trick… Ab kisi third-party software ki kou jarurat nahi hai .
Thanks For Comment (Do not spam)