VLC Media Player Se Video Download Kaise Kare in Hindi
VLC Media Player Se Video Download Kaise Kare in Hindi , Friends aaj ki is post me hum VLC media ke ek bahut hi kaam ke feature ke bare jaanege . Aap sab log VLC Media player ke bare me jante honge jiska use hum movies or videos dekhne me karte hai . Par Friends VLC Media Player me kai sare aise features hai jo hume nahi pata hai jo ki bahut use full hai , Hamne isse Pichli VLC Media Player ki post me jana tha ki Kaise hum VLC Media Player Se Screen Record kar sakte hai .
Aaj hum janege ki VLC Player se aap Video Kaise Download kar sakte hai . Friends kai baar hum online bahut sari video dekte hai jin me se kai sari hume pasand aa jati hai or hum us video ko download karna chahte hai par hamare pass koi video downloader nahi hai to hum fir us video ko download nahi kar paate , Yaha tak ki YouTube ka koi video hume accha lage to fir usko download karna muskil ho jata hai . In sab problem ka sabse badhiyo solution ye hai ki hum VLC Player ka use kar ke video ko bade aaram download kar sakte hai , Bus hame jis video ko download karna hai usko URL (Link) pata hona chahiye . To chaliye jaldi se jante hai ki VLC Media Player Se Video Download Kaise Karte Hai .
VLC Media Player Se Video Download Kaise Kare in Hindi
VLC media plyer ka use kar ke aap bahut aaram se video download kar sakte hai . VLC Media Player Se Video Download karne ke liye aapke computer me VLC Media Player install hona chahiye . VLC media player free or open-source software hai or kaafi popular player hai agar aapke computer me VLC Media Player nahi hai to aap yaha se usko Download Kare : VLC Media Player
VLC media Player ko apne computer me download or install karne ke baad VLC Media Player ko open kare .
- VLC Media player ko open karne ke bad , VLC ke top menu me Media par click kare . uper image me point 1 dekhe .
- Media par click karne ke baad aapke samne kai sare option aayege usme se Open Network Stream par click kare .
Open Network Stream par click karte hi , aapke samne niche di hui image jaisi new windows open hogi .
- Jaha par likha hai – Please enter a network URL: is box me aapko us video ka URL dalna hia jisko aap download karna chahte hai . (uper image me point 1 dekhe) jaise aapko agar YouTube ka video download karna hai to aap us video ka URL copy kare or yaha daal de .
- Ab Play ke pass bane Arrow par click kare . uper image me point 2 dekhe .
- Yaha par aap Convert par click kare .
Convert par click karte hi aapke saamne e new window open hogi .
- Browse par click kar ke aap , jaha par video ko download kar ke save karna chahte hai vo location select kare .
- Ab download start karne ke liye Start ki Button par click kar de .
Start ki button ko dabate hi aapki video download hone lagegi . Download hone ke baad aap us video ko dekh sakte hai .
Friends is tareh se aap VLC media player ka use kar ke bahut hi aaram se video ko download kar sakte hai. Aapko ye jaankari kaisi lagi hume coment kar ke jarur bataye . Umid hai ki is post se aapki help hui hogi . Agar aapko ye jankari acchi lagi ho to apne friends or family me share jarur kare or dusro ki help kare .
Ye Bhi Padhe :
- VLC Media Player Se Screen Record Kaise Kare .
- Apne Name Ki Ringtone Kaise Banaye .
- Android Mobile Par Kisi Bhi Phone Number Ko Block Kaise Kare
[su_divider]
VLC Media Player Se Video Download Kaise Kare in Hindi, VLC Media Player Se Video Download Karne Ka Tarika , VLC Media Player Se Video Download Or Convert Kaise Kare .
very good nice post continue to relative post thanks