Website Block Kaise Kare Block Website in Hindi
Website Block Kaise Kare Block Website in Hindi aaj ki post me hume sikhenge ki kisi bhi website ko bina sofwear ke kaise block karte hai uska tarika kya hai . Par isse pahle ki me aapko ye batau ki website ko block kaise karte hai me ye batana chahta hu ki website ko block kar ke kya fayda hota hai hai or website ko block karne ki jarurat ku padti hai .
Friends hum sab jante hai ki internet bade hi kaam ki chij hai agar uska use sahi dhang se kiya jaye . par kai baar iska galt use bhi hota hai . jaise aapne kisi to kaam karne ke liye internet diya or vo usme kaam ki chijo ko nahi kar ke Facebook chala ra hai ya video dekh ke time barvaad kar ra hai .
Ghar me bache hote hai, ma – baap unhe internet padhai ke liye dete hai or ve internet pe kuch or hi karte rahte hai. To ab yaha par jarurat padti hai website block karne ki . Agar aap un website ko hi band kar de jo kaam ki nahi hai to fir internet ka use ache kaam me hi hoga . Aaj is post me shikhenge ki Website Block Kaise Kare Block Website in Hindi .
Ye Bhi Padhe :
- Computer Par WhatsApp Kaise Chalate Hai
- Facebook Video Download Karne Ka Tarika
- YouTube se Paise Kamane ka Tarika
Website Block Kaise Kare Block Website in Hindi
Niche bataye gaye steps ko follow kar ke aap aasani se kisi bhi website ko block kar sakte hai
Important: In steps ko follow karne ke liye aap sabse pahle apne computer me Administrator vale login se computer open kare tabhi aap websites ko block kar aayenge .
Step 01:
Start button par click kare or search box me notepad type kare .
Step 02:
Ab notepad par right click kare or Run as Administrator vale option par click kare .
Step 03:
notepad ke open hote hi, aap top menu me File par click kare or fir open par click kare ya fir Keyboard Shortcut : CTRL+O press kare .
Step 04:
Ab hamare samne open ki window open hogi yaha par hume ek file ko open karne hai .
to us file ko kholne ke liye is paath par jaaye : C:\Windows\System32\drivers\etc
jab aap uper bataye gaye path par jayenge to aapko vaha par koi file nahi dekhegi . yaha par file ko dekhne ke liye jaha par text documents (.txt) hai vaha par click kar ke All Files kar de .
All Files karte hi aapko yaha par kai sari files dekhngi aap hosts file ko selete kare or Open ki button par click kare de .
Step 05:
Ab file open ho jayegi , is file me kuch likha hoga , aap sabse last ki line me jaaye or Enter button dabaye .
ab yaha par hume website block karne ke liye kuch likhna hai karna hai . yaha par 127.0.0.1 likhana hai or fir space de ke website ka name likhna hai jis website ko hum block karna chahte hai .
Agar mujhe Facebook block karna ho to me likunga : 127.0.0.1 www.facebook.com
or youtube ko block karna hai to me yaha par likhunga : 127.0.0.1 www.youtube.com
to is tareh se aap kisi bhi website ko block karne ke liye likhe sakte hai or kitni bhi website ko block kar sakte hai . niche image dekhe mai do website ko block karne chahta hu . Facebook or youtube to maine ye likha . niche image dekhe
Step 06:
Jin website ko block karna hai un sab website ko likhne ke baad ab hum is file ko save kar denge .
menu me File par click kare or Save par click kare ya fire Keyboard me CTRL + S dabaye .
Friends is tareh se hum apne Computer me bina kisi software ke website ko block kar sakte hai .
Computer Tips Hindi Tutorial : How To Block Website in Hindi , Website Block Kaise Kare
Is hindi video me aap jaanege ki website ko block kaise karte hai without any softwear aap is tarike se kisi bhi website ko block kar sakte hai . Is tareh ke Hindi video tutorial dekhne ke liye yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube_advanced url=”https://www.youtube.com/watch?v=Hv9plJW25WI”]
Agar aapke ye video pasand aaya ho to Hindi channel ko YouTube par subscribe jarur kare , Subscribe karne ke liye yaha par click kare : Subscribe
agar aap yaha par apna video chahte hai to contact us. (we promote your link)
Ye Bhi Padhe :
- Online Game Khelna hai .
- Facebook Video Autoplay Band Karne Ka Tarika
- YouTube se Video Download Karna Ta Tarika
- Facebook History Ko Kaise Delete Karte Hai
- Facebook Par Fake ID Pata Karne ka Tarika
[su_divider top=”no”]
Website Block Kaise Kare Block Website in Hindi , Computer par Website Kaise Block Kare , Block Website in hindi , How to Block YouTube in Hindi , How To Block Facebook in Hindi
good articule Bhai
plz check this, ye post bhi padhe : www .hindiadvise.com/2016/10/computer-laptop-mai-se-virus-kaise.html