WhatsApp Me Last Seen Kaise Hide Kare in Hindi
Aaj hum janne vale hai WhatsApp Me Last Seen Kaise Hide Kare in Hindi , Bahut se log janna chate hai ki whatsapp me last seen kaise chupaye to aaj whatsapp tips and tricks ki is post me aaj hum batayenge ki kaise aap apne whatsapp ki last seen ko chupa sakte hai . Aaj kal har koi whatsapp ko use karta hai or Whatsapp hi messaging ka maine App ban chuka hai , Whatsapp ke success hone ka maine karn yahi hai ki whatsapp har tereh ke features hai. Iske developer hamesa new feature ko late rahte hai hamesa update karte rahte hai or apne users ko privacy control karne ke lagbhag sare option dete hai .
Whatsapp Last seen ko chupa ke aap apni privacy ko or badha sakte hai . Ladkiyo ke liye ye option kaafi jyada helpful rahta hai , samjhdaar ko isara kaafi hai jo me bolna cha raha hu. Baki kuch log aise hai jo Last seen ko kisi ko display ni karna chate vo bhi apne whatsapp last seen ho hide kar sakte hai . To bahut hi kaam ki post hai whatsapp privacy se judi hui isko dyaan se padhte rahye .
Sabse pahle hum ye jaan lete hai ki WhatsApp par last seen hota kya hai ? Friends whatsapp me feature hai ki jab bhi aap whatsaap App ko open karte hai to aapke friends jo aapse chat karte hai unko aap online show hote ho Par agar aap Whatsapp band kar dete hai matlab agar aap whatsapp me online nahi hai to agar koi aapki chat ko open karega to apke name ki niche last seen (time) show hota hai ki aapne last time kab whatsapp app ko open kiya vo last seen hota hai . Niche image me dekhe or samjhe whatsapp last seen kya hota hai .
Friends kuch logo ke liye ye accha whatsapp feature hai par kuch log apne whatsapp last seen ko chupana chate hai , takki kisi ko pata na chale ki ve kab online aate hai or last time kab online aaye the . Bahut sare reson ho sakte hai Whatsapp Last seen ko chupane ke . To chaliye jaldi se jante hai ki Whatsapp me Last Seen kaise Chupate hai ?
- Ye Bhi Jane : Whatsapp Par Location Share Kaise Kare in Hindi
- Whatsapp se apk exe zip File ya Koi Bhi File Kaise Send Kare
WhatsApp Me Last Seen Kaise Hide Kare in Hindi
Step 01 : Sbase Pahle aap Whatsapp ko open kare . Whatsapp ko open karne ke baad aapko screen ke top right side me Tin dot ( ⋮ ) dikhai denge , Tin Dot par click Kare ( ⋮ ) . Adhik jankari ke liye niche image ko dekhe .
Step 02 : Tin Dot ( ⋮ ) par click karte hi aapke samne ek menu open hoga , Yaha par aap Settings par click kare . Niche image me dekhe .
Step 03 : Settings par click karte hi aap whatsapp ki Settings me chale jayenge , Yaha par aapko Account likha huva dikhai dega , Account par click kare . niche image dekhe .
Step 04 : Account par click karte hi aap Whatsapp ki Account setting me chale jayenge . yaha par aap Privacy par click kare . Niche image dekhe .
Step 05 : Privacy settings me jane ke baad aapko yaha par Last seen likha huva dikhai dega , ab ham Last Seen par click (Tap) karenge . niche image me dekhe .
Step 06 : Last Seen par click karte hi aapke samne ek pop aayega , yaha se hum apne Whatsapp ki Last seen settings ko set kar sakte hai . Yaha par hamare pass Whatsapp Last seen ko set karne ke tin option hote hai . Niche image me dekhe.
- Everyone : Yaha par jo sabse pahla option hota hai , Everyone ! agar aap is option par click kar ke select karte hai to aapke whatsapp last seen ko koi bhi dekh sakta hai , chaye vo aapke contact list me ho ya na ho . uper image me point 1 dekhe .
- My contacts : Agar aap My contacts par click kar ke is option ko select karte ho to jo bhi aapke contact list me rahega vo hi aapke Whatsapp ke last seen ko dekh payega . jyada tar log yahi option rakhte hai . Uper image me point 2 dekhe.
- Nobody : Yaha pe jo sabse last option hai vo hai Nobody , Agar aap ye vala option select karte hai to fir aapke whatsapp ka last seen koi bhi nahi dekh payega , Par yaha dyaan rakhne vali baat ye hai ki agar aap apne Last seen ko puri tareh se chupate hai to aap bhi fir kisi or ka Last seen nahi dekh payenge . Uper image me point 3 dekhe.
Friends maine aapko uper sare option ko acche se samjha diya hai , aap apni iksha se koi bhi option ko select kar sakte hai , Agar aap apne last seen ko puri tareh se chupana (hide) karna chahte hai to aap Nobody vala option select kare , lakin fir aap bhi kisi ka last seen nahi dekh payenge . Mairi samjhe se aapko My contacts ko select karna chahiye jisse aapke contacts list me jo log / friends hai vahi aapke last seen ko dekh payenge koi anjaan vyaki aapke last seen ko nahi dekh payega ki aap kab online aaye the .
- Ye Bhi Jane : WhatsApp Ko Password Lock Kaise Lagaye in Hindi
- WhatsApp Message Me Bold Italic Strikethrough Text Kaise Likhe
- WhatsApp me Kisi Ko Bevkuf Kaise Banaye
Friends is tareh se aap apne whatsapp ke last seen ko bade aaram se chupa sakte hai (Hide Last Seen on Whatsapp) or apni jarurat ke hisab se iske settings ko set kar sakte hai . Umid hai ki ab aap Whatsapp ki last seen ki settings ko jaan chuke honge .
Aapko hamari ye whatsapp tips and tricks se judi information WhatsApp Me Last Seen Kaise Hide Kare in Hindi kaisi lagi comment kar ke jarur bataye , or agar aap isse related or kuch janna ya puchna chate hai to bhi aap niche comment kar ke puch sakte hai . Agar is imformation se aapki help hui ho to isko apne friends / family me share jarur kare . Thanks !!!
sir, agar kisi na read receipt on kar rakha hai to kya mai uska last seen dek sakti hu?
read reciept on / off hone se last seen par koi frk ni padta .. last seen ki settings alag hoti hai , agar kisi ne apna last seen on kar rakha hai to aap dekhe sakte hai , lakin aapka bhi last seen on rahna chahiye .