WhatsApp Message Me Bold Italic Strikethrough Text Kaise Likhe
Aaj hum janege WhatsApp Message Me Bold Italic Strikethrough Text Kaise Likhe , Friends Whatsapp ko aaj har koi use karta hai or ye massages karna ka main app banta ja raha hai , Uska karan yahi hai ki Whatsapp me bahut sare features hai jo baaki Apps se isko ek alag pahchan deta hai . Whatsapp time to time update hota rahta hai or iske developer hamesa isko acha banane me lage rahte hai . Whatsapp ke is new feature me ab aap text formatting kar sakte hai. Jab Aap whatsapp chat me massage ko type karte hai to text formatting kar sakte hai , Yahi ki aap apne text ko Bold, Italic, Strikethrough or Monospace me likh sakte hai .
Friends aapne kai baar dekha hoga ki aapko koi whatsapp massage me Blod , Italic, Strike Through ya monospace me likha huva massage aaya hoga to aapne bhi socha hoga ki isko kaise type kiya hai , Or aap bhi apne text massage ke word ko style me likhna chahte honge . To chinta na kare is post ko padhne ke baad aap bhi bade aaram se Whatsapp massage me Bold, Italic, Strikethrough and Monospace me likh payenge . Chaliye aaj kuch whatsapp text tricks ke bare me jante hai or hum bhi sikh lete hai ki WhatsApp Message Me Bold Italic Strikethrough Text Kaise Likhe .
WhatsApp Message Me Bold Italic Strikethrough Text Kaise Likhe
Whatsapp me aap 4 tareh se apne text ki formatting ko kar sakte hai , aap apne text ko Bold me kar sakte hai , Italic me, Strickthough or monospace me kar sakte hai . Inka use aap apne massage me kar sakte hai , maan lijiye aapko apne massage me kisi word ko notice karvana hai to app us word ko bold me kar sakte hai , ye to maine ek simple sa example diya hai aap in text style ka use apne dhange se kaise bhi kar sakte hai . (Use Bold, Italic and Strikethrough Text on WhatsApp)
Uper ki image me aap charo format ke examples ko dekh sakte hai , To chaliye ab hum in sabhi text format ko ek ek kar ke jante hai or kaise karte hai vo sikhte hai .
WhatsApp Message Me Bold Text Kaise Likhe
WhatsApp me Bold Text likhene ke liye bahut hi simple trick hai , Bold word me likhe ke liye aapko do * (star) ke bich me vo word likhna hai jisko aap whatsapp massage me Bold me likhna chate ho . For example : Agar mjhe hello ko bold me likhana hai to me wahtsapp massage me *hello* likhunga or massage send karunga ko vo automatically bold me hello ho jayega . jayada jankari ke liye aap niche image ko dekhe .
WhatsApp Message Me Italic Text Kaise Likhe
Whatsapp me agar aapko koi bhi text ko Italic me likhna hai to aapko apne text ke dono taref _ (underscore) lagana hoga . Jaise maan liye mujhe hello ko Italic format me likhna hai to me whatsapp massage me type karunga _hello_ or jaise hi send karunge vo automatically hello ho jayega . Niche image me dekh ke samjhe ki kaise Italic me likhte hai .
WhatsApp Message Me Strikethrough Text Kaise Likhe
Kisi bhi word ko whatsapp me Strikethrough me likhne ke liye aapko apne text ke dodo taref ~ ( tilde ) ko lagana padega . Jaise agar aapko hello word ko Strikethrough format me likhna hai to aapko ~hello~ likhe kar send karna hoga . Niche image me dekhe kar samjhe .
WhatsApp Message Me Monospace Text Kaise Likhe
Agar aap whatsapp me Monospace format me likhna chate hai to aapko apne text ke dono taref “` ( tin backticks ) ko laga kar send karna padega . For example : agar aap hello ko monospace me likhna chate hia to aapko “`hello“` likh kar send karna hoga . For more information look image below .
Is teres se aap whatsapp me text ki formatting kar ke apne text ko Bold, Italic, Strikethrough or Monospace word me likhe sakte hai . Friends aap do format ko ek sath use kar sakte hai. jaise aap kisi text ko bold + Italic me likhana chate ho to aap wahtsapp massage me *_text_* is tereh likhe aapka text bold or Italic dono ho jayega or send karne ke baad is type ka ho jayega :- text
- Ye Bhi Jane : WhatsApp Chat Ka Background Wallpaper Kaise Change Kare
- Kharab Memory Card ya Pen Drive Ko Kaise Thik Kare
Friends aapko hamari we Whatsapp text tricks, WhatsApp Message Me Bold Italic Strikethrough Text Kaise Likhe kaisi lagi hume comment kar ke bataye . Agar isse apki help hui ho ya aapne kuch new sikha ho to aap is post ko apne friends or family ke sath share jarur kare taki sabko ye Whatsapp ki tricks pata chal sake .