Whatsapp Par Location Share Kaise Kare in Hindi
Friends aaj hum janege Whatsapp Par Location Share Kaise Kare in Hindi (How To Share Your Location On Whatsapp in Hindi) . Whatsapp ko lagbhag har smart phone user use karta hai or aap bhi use karte honge or Apne friends logo se jarur chatting karte honge , image or video bhi jarur send karte hoge , Par kya aapko pata hai ki aap Whatsapp ka use kar ke apni location ko bhi share kar sakte hai .
Whatsapp me location share karne ke bahut sare fayde ho sakte hai , kuki har koi Whatsapp par rahta hai or agar aapko kisi se milna ho vo bhi aisi jageh jaha kaafi bhid bhad ho ya aapko jageh ka pata na chal ra ho to aap apni location ko Whatsapp par share karke samne vale ko bata sakte hai ki aap kaha par hai or fir usse mil sakte hai . Whatsapp me hum apni location ko kisi person ke sath sath whatsapp group me bhi apni location ko share kar sakte hai . To chaliye jante hai ki Whatsapp Par Location Kaise Share Karte Hai
Whatsapp Par Location Share Kaise Kare in Hindi
Whatsapp me loction share karne se pahle dosto aap apne mobile me GPS (Location) ko on kar de , adhik jankari ke liye niche image ko dekhe .
Mobile me GPS (Location) ko on karne ke baad friends ab hum Whatsapp me location ko share karenge . Sabse pahle aap Whatsapp ko open kare fir niche ke step ko follow kare . niche image dekhe.
- CHATS ke tab me Jaye (uper image me option 1 dekhe)
- Uske Baad jis Whatsapp Friend ke sath aapko apni Location ko Share karna hai us friend ki chat par click kar ke uski chat me jaye .
Jiske sath location ko share karna hai uski chat me jane ke baad . Jaha par aap massage type karte hai uske right side me aapko attachment pin ka icon milega us par click kare , fir Location par click kare . niche image me dekh kar steps ko samjhe .
- Attachment Pin par click Kare (uper image me point 1 dekhe)
- Ab aapke samne kai sare option aayenge usme se aap Location par click kar de .
Location par click karne ke baad aapki screen par location share kare ke option aa jayenge , Yaha par aapko dyan dene vali ye baat hai ki aap Whatsapp Me 2 tarike se Location ko share kar sakte hai . pahla hai – Current Location or Dusra hai – Live Location .
To Jaisa ki maine aapko uper bataya ki hamare pass 2 tareh ke option hote hai , 1. Current Location – Jab aap current Location ko share karte hai aapki current location share ho jaati hai (par mujhe live location share karna jyada acha lagta hai jo aapko hum aage batayenge ), current location ko share karne ke liye aap Send your current location par click kar de . niche image dekhe .
2. Live Location – Jab aap Live location ko share karte hai to aapki Live location kuch time ke liye share ho jati hai , Live location ko aap 15 minutes , 1 hour or 8 Hour ke liye share kar sakte hai . Jiske sath aap live location ko share karenge vo aapke location kotrack kar payega, dekh sakta hai ki aap kaha ja rahe hai kaha par hai . Live location ko share karne ke liye Share live location par click kar de . Niche image dekhe .
Jaise hi aap Share live location par click karenge aapke samne time select karne ka option aayega, ki kitne time ke liye live location share karna chahte hai . niche image dekhe.
- Yaha par se aap time ko selete kare , jitne time ke liye aap apni live location ko share karna chate hai .
- aap chahe to kuch massage bhi likh sakte hai , loction send karne ke liye right side me niche Arrow ke button par click kar de (uper image me point 2 dekhe)
Is tareh se aapki Live location wahtsapp par share ho jayegi . Live location share karne ke baad aap chahe to location ko share karna band bhi kar sakte hai . Agar aapko live location share karna band karna hai to aapko location share karne vale massage ke niche Stop sharing likh huva milega us par click kar de . niche image dekhe.
Stop Sharing par click karte hi aapke samne ek popup aayega , jaha par aapko confirm karne ko bolega aap yaha par STOP ki button par click kar de , niche image dekhe .
Friends Is tareh se aap Whatsapp Par apni Current Location share kar sakte hai , Kisi Live Location Share kar sakte hai or Whatsapp Par Live Location Ko Jab chahe share karna band bhi kar sakte hai . Hamne sabhi jankari ko cover karne ki puri kosis ki hai umid hai ki aapko whatsapp ki location share karne ke sabhi option acche se samjhe me aa gaye honge .
Ye Bhi Jane :
- WhatsApp Ko Password Lock Kaise Lagaye in Hindi
- Unknown Mobile Number Ka Name Information Location Address Kaise Pata Kare
- Android Mobile me Faltu ke App Notification Kaise Band Kare
Video : Whatsapp Par Live Location Ko Share Kaise Kare
Niche ke video tutorial me aap janege ki Whatsapp Me Location Ko Share Kaise Karte Hai ( How To Share Location on Whatsapp in Hindi ) .
Agar aap is tarah ke or Hindi tutorial ko dekhna chahte hai to yaha click kare : Hindi Video
[su_youtube url=”https://www.youtube.com/watch?v=0uf_phOpds8″]
agar aapko ye video pasand aaya ho to hindi ke YouTube channel ko subscribe jarur kare . Subscribe karen ke liye yaha click kare : Subscribe
Agar aap yaha par apna video chahte hai to contact us.
Agar aapko hamri ye jankari (Whatsapp Par Location Share Kaise Kare in Hindi) kaisi lagi hume comment kar ke jarur bataye , Agar aapko information pasand aayi ho to apne dosto ke sath share jarur kare , iske sath sath agar kisi bhi tareh ki Whatsapp Location share karne me aapko agar problem aa rahi hai to niche comment kar ke jarur puche .
Really very nice information sharing thanks for this (hindimearticle.com)
Thanks For Comment Manjeet !
Thanks sir ! Very Nice n Useful Information ! (anytechnoinfo.com)