Windows 10 Me Control Panel Ko Open Kaise Kare
Windows 10 Me Control Panel Ko Open Kaise Kare, Friends Windows 10 Me Control panel ko open karne ke kai sare tarike hai . Lakin bahut se aise log hai jo windows 10 me control panel ko open karnea nahi jante , To aaj me aapko kai sare tarike bataunga jin se aap bade hi aaram se Control Panel ko Open kar payenge . To chaliye jante hai Windows 10 Me Control Panel Open Karne ke Tarike .
Windows 10 Me Control Panel Ko Open Kaise Kare
Windows 10 ke jo new users hai unko sayed Control Panel ko open karne me Problem ho sakti hai kuki Windows 10 new design hai ya Windows 10 me ho sakta hai aapko control panel ko open karne ke kuch tarike pata ho , lekin aaj is post me aapko or bhi tarike pata chall jayenge jo sayed aap na jante ho . To agar aap kuch naya janna chahte hai to fir ye post padhte rahiye .
Quick Access Menu Se Control Panel Kaise Open Kare
Windows 10 me Control panel ko open karne ke liye aao Quick access menu ka use kar sakte hai . agar aapke quick access menu ke bare me nahi mata hai to aap iche image dekha or steps ko samjhe .
- Sabse pahle aap Start menu par Right click kare . uper image me point 1 dekhe .
- Jaise hi aap Start menu par Right click karenge aapke samne Quick Access menu aa jayega , Quick access menu ko open karne ke liye aap Keyboard me Windows+I ko press kar sakte hai . Quick access open hone par aap yaha par Control Panel ko dekh sakte hai . Control Panel par click kar de . Uper image me point 2 dekhe .
To is tareh se aap windows 10 me Quick Access menu ka use kar ke Control Panel ko Open kar sakte hai .
Start Menu Ke Search Box Ka Use Karke Control Panel Kaise Open Kare
Hum ai baar start menu ke search box ka use karte hai , Kisi bhi program ya software ko open karne ke liye ya search karne ke liye . Friends hum start menu ke search box ka use control panel ko bhi search karne or open karne me kar sakte hai . Niche image dekhe .
- Sabse pahle aap Start menu pe click kare uske baad search box me Control panel type kare . uper image me Point 1 dekhe .
- Jaise hi aap search box me control panel type karenge aapke samne search result me Control Panel aa jayega . Uper image me point 2 dekhe .
Ab aap Control Panel par click kar ke Control panel me ja sakte hai . To is tareh se aap start menu ke search box me control panel serch kar ke Control Panel ko open kar sakte hai
Windows 10 Me Start Menu Se Control Panel Open Kaise Kare
Control panel ko open karne ka ye ek or bahut accha tarika hai . Jitne bhi program hum computer me install karnte hai to vo sare program ko hum start menu me ja kar list me dekh sakte hai usi tareh hum control panel ko bhi open kar sakte hai .
- Sabse pahle aap Start menu me click kare fir jo bhi program aapke system me install hai usko ap yaha par dekh sakte hai scroll down kare or W word me jaye . uper image me point 1 dekhe .
- Ab yaha par aapko Windows System folder dikhai dega , Windows System par click kare .
- Windows System folder par click karte hi aap yha par Control Panel ko dekh sakte hai . Control Panel ko open karne ke liye aap is par click kar de . Uper image me point 3 dekhe .
Windows Run Se Control Panel Kaise Open Kare
Windows 10 me control panel ko open karne ke liye aap Run ka bhi use kar sakte hai . Run Command ka box open karne ke liye apne Keyboard me Windows+R ko press kare . Jaise hi Windows+R ko press karenge aapne samne Run dialog box open ho jayega . niche image dekhe .
- Run dialog box open hone ke bad, aap Open me control panel type kare . uper image me point 1 dekhe .
- Ab aap OK ki button par click kar de .
Jaise hi aap control panel likhe ke OK karenge aapke samne Control Panel open ho jayega . To aap Run Commend ka use karke bhi Control Panel ko open kar sakte hai .
Windows 10 Me File Explorer Se Control Panel Kaise Open Kare
Friends aap Control Panel ko File Explorer ya This PC se bhi open kar sakte hai . Aap file Explorer me jane ke liye start menu ka bhi use kar sakte hai . Ya fir aap Start menu par Right click kare or fir option me se File Explorer ko choose kare . Iska Keyboad shortcut bhi hai aap apne Keyboard me Windows + E ko press kare , File Explorer open ho jayega .
- Yaha par This PC ke side me bane Down Arrow pe click kare , Uper image me Point 1 dekhe .
- Jaise hi aap down arrow par click karenge aapke samne kai sare option aayenge , in option me se aap Control Panel par click kare . Uper image me point 2 dekhe .
To aap Windows 10 me File Explorer ya This PC me ja kar bhi Control Panel ko open kar sakte hai . Chaliye ek last tarika ek or jante hai .
Command Prompt Se Control Panel Kaise Open Kare
Command Prompt CMD se bhi hum control panel ko open kar sakte hai , Agar aapko is ke bare me jyada pata nahi hai to aapko darne ki jarurat nahi hai hame simple Command Prompt ko open kar ke bus usme control panel likhe ke Enter dabana hai . Aap simple niche ke steps ko follow kare , sabse pahle hum CMD command Prompt ko open karenge .
- Sabse pahle aap Start menu par click kare . Fir search box me cmd type kare . Uper image me point 1 dekhe .
- Jaise hi aap search box me cmd likh kar search karenge aapne samne Command Prompt search result me aa jayega , Command Prompt par click karke isko open kare .
Command Prompt par click karte hi aapke samne Command Prompt ka dialog box open ho jayega . niche image dekhe.
Command Prompt me aap simple control panel type kare (Uper image me dekhe ) or Enter button dabaye . Control Panel open ho jayega . To is tareh se aap CMD command prompt ka use kar bade aram se Control Panel ko open kar sakte hai.
Friends aapne jana ki hum is tareh se bade hi aaram se itne sare tariko se Windows 10 me Control Panel ko open kar sakte hai . Hame umid hai ki aapko hamare bataye huve sare tarike samajhe me aaye honge or ab aap bhi Control panel ko apne man pasand tareike se open kar ppayenge .
Aapko hamri ye post Windows 10 Me Control Panel Ko Open Kaise Kare kaisi lagi comment kar ke bataye or agar aapko abhi bhi Windows 10 me Control Panel ko open karne me problem aa rahi hai to comment me puche . Informatio acchi lagi ho to apne friends or family me share jarur kare . Thanks .
[su_divider]
Windows 10 Me Control Panel Ko Open Kaise Kare , Windows 10 Me Control Panel Open Karne ka Tarika , How To Open Control Panel in Windows 10 in Hindi