Windows 10 Me Login Screen Ka Background Kaise Change Kare
Windows 10 Me Login Screen Ka Background Kaise Change Kare , Friends aap agar Windows 10 ko use karte honge to aapne notic kiya hoga ki aapke sing in screen (jaha par hum password dalte hai) par kuch background image hoti hai . To kuch aise log bhi hai jo vaha par aane vali defult image ko change karna chahte hai . Aap bhi apne desktop ka wallpaper change karte rahte honge or apne man pashand background ko lagate honge . Par kya aapne kabhi Windows 10 ke login screen ke background ko change karne ke bare me socha ?
Hamme se bahut se log ye sochte hai ki sayed Windows 10 ki log in screen ka background change nahi kar sakte , Par aisa nahi hai hum bade hi aaram se log in screen ka background change kar sakte hai or kisi bhi boring background se chutkara paa sakte hai . To chaliye aaj ki post me step by step jante hai ki kaise hum Windows 10 Me Login Screen Ka Background Change Kar Sakte Hai .
Windows 10 Me Login Screen Ka Background Kaise Change Kare
Windows 10 ki login screen ka background change karne ke liye hame windows ki settings me Personalization settings me jana padega or kuch simple changes karna padega .
- Sabse pahle Start par click kare .
- Start par click karn ke baad windows settings me jane ke liye Settings ke icon par click kare . uper image me point 2 dekhe .
Settings ke icon par click karne ke baad aapke samne Windows Settings ka dialog box open hoga . yaha par aap Personalization par click kare , niche image dekhe kar samjhe .
Lock screen ke option me jaane ke baad , hum yaha se bade hi aaram se windows 10 ki login screen ka background change kar sakte hai . Yaha par dyan rahe ki Show lock screen background picture on the sign-in screen ye option on hona chahiye .
- Lock Screen ke option me aap Background vale section me Picture ko seclect kare . uper image me point 1 dekhe .
- Ab aap Browse ki button par click kar ke kisi bhi image ko select kar ke usko login screen ka background bana sakte hai . uper image me point 2 dekhe .
Is tareh se aap bade aaram se Windows 10 ki login screen ka bacground change kar sakte hai . Umid hai ki ab aap bhi apni man pasand image ko login screen par laga payenge . aapko hamari ye post Windows 10 Me Login Screen Ka Background Kaise Change Kare kaisi lagi comment kar ke jarur bataye . Agar koi problem ho rahi hai to aap apni problem ko comment kar ke puch sakte hai .
Ye bhi Jaane :
- VLC Media Player Se Video Download Kaise Kare
- Mobile Ko Computer Ka Wireless Mouse Or Keyboard Kaise Banaye
- Android Mobile Phone Se Secret Video Kaise Record Kare
[su_divider]
Windows 10 Me Login Screen Ka Background Kaise Change Kare, Window 10 Me Login Screen Ka Background Change Kaise Karte Hai , How To Change Login Screen Background om Windows 10 in Hindi
Sir aapka blog bahot acha hai or design bhi achi hai mene ek blog start kiya hai makvanainfo.com sir umid hai ki aap dekhe or koi problem hai to muje bataye thanks
Jagdish aapka blog sahi h. bas jo apki website me aaye usse aachi se acchi information dene ki kosis kare or apne unique contant rakhe . good luck .
bahut he badiya article hai sir ( onlineknowledgeinhindi.com )