YouTube History Delete Kaise Kare Delete YouTube History in Hindi
Dosto aaj hum janege ki YouTube History Delete Kaise Kare Delete YouTube History in Hindi . Youtube ki history ko delete karene se pahle hum ye jaan lete hai ki YouTube Watch History or YouTube search history kya hoti hai . Jab hum YouTube par koi video ko dekhte hai to YouTube use apni Watch History me save kar leta hai or Jab YouTube me hum Kuch Type karke YouTube ke search Box me kuch search karte hai to vo usse apni Search History me store kar leta hai jise ham YouTube ki Search history kahte hai
Bahut se aise log hai jo YouTube ki history ko delete karne ke liye apne Internet browser ki history ko Delete kar det hai or unnhe lagta hai ki unhone YouTube history ko bhi delete kar diya par aisa bilkul nahi hai YouTube ki History alag hoti hai or hamare internet browser ki History alag hoti hai . YouTube History Delete karne ke liye hamko YouTube me jaakar vaha se History ko Delete karna padta hai
YouTube hamri Watch History or Search History ko save karta rahta hai taaki vah hame YouTube par Video recommend par sake or suggestion de sake .Chaliye dekhte hai ki YouTube ki History ko kaise delete karte hai . mai aapko bahut hi aasan tarika batane vala hu jaha se aap aaram se YouTube ki History ko Delete kar sakte hai . YouTUbe History ko Delete karne ke liye niche ke steps ko follow kare .
Ye Bhi Padhe:
- Paise Kaise Kamaye
- YouTube se Video aasani se Download karne ka tarika
- Facebook Search History Kaise Delete Kare
YouTube History Delete Kaise Kare Delete YouTube History in Hindi
YouTube ki History ko Delete karne ke liye sabse pahle hume YouTube ki site me jaana hoga or Fir YouTube ke Account me Login karna hoga. YouTube Account me Login Karne ki liye YouTube ke Sign in Button par click kare .
Sign In ke button par click karte hi hamare samne ke page open hoga us page me apna Email Fir Password Daale or Sign In ki button par click kar de or YouTube Account me Login kare.
YouTube Account me Login Karne ke baad ab aap YouTube me left side me dekhe vaha par aapko History likha huva dekhege us History par click kar de .
ab aapke samne YouTube ki History ka page open hoga ..
Yaha par aapko do tareh ki History dikhai degi
- Watch History : Watch History me jo bhi hum YouTube me video dekhte hai uski history yaha save hoti hai
- Search History : YouTube ke Search box me hum jo bhi search karte hai . Uski history yaha par save hoti hai .
Watch History me aap dekh sakte hai ki aapne jo bhi video YouTube me dekha hoga vo yaha par dikhai dega . Yah par aap ek ek karke bhi video ko apni watch history se delete kae sakete hai .watch History se kisi video ko delete karne ke liye uske samne ke x ke nisaaan par click kar de . vo video aapki watch history se Delete ho jayega .
Agar aapko apni saari YouTube Watch History ko ek bar me Delete karne hai to aap clear all watch history ke button par click kar de.
clear all watch history par click karte hi aapke samne ek pop up aayega or jisme likha hoga ki aap sure hai ki aap YouTube ki sari watch history ko delete karne chahte hai or ager ye delete ho gaya to vapes se undo nahi hoga . To aap yaha par Dubara se clear all watch history ke button par click kar de.
clear all watch history ke button par click karte hi aaoki YouTube ki sari watch history delete ho jayegi.
ab hum dekhte hai ki YouTube ki Search History ko Kaise delete karte hai . YouTube Ki search history ko dekhne ke liye . watch history ke bagel se search history likha huva hai vaha click kare .
ab aapke samne aapki sari search history aa jayegi . aap yaha se bhi kisi bhi serch history ko delete kar sakte hai bus uske samne ke tin dot par click kare or fir Remove from search history par click kare ek ek search history ko hata sakte hai .
Agar aapko sari search history ek baar me delete karni hai to aap Clear all serch history ke button par click kar de .
Fir vapes se aapke samne ek popup aayega jisme yah kar raha hoga ki agar aapne sari history ko delete kiya to ye vapes se nahi aayegi . to aap yaha par fir se clear all search history ke button par click kar de .
Is tareh se aap badi aasani se YouTube ki History Delete kar sakte hai chahe vo aapki YouTube ki Watch History ho ya YouTube ki Search History Ho . Dosto aapko ye post YouTube History Delete Kaise Kare Delete YouTube History in Hindi kaisilagi hume comment karke jarur bataye.
Enhe Bhi Padhe :
- YouTube Se Paise Kaise Kamate Hai
- PayPal Account Kaise Banate Hai
- Chitika Se Paise Kaise Kamate Hai
- Hindi Typing Kaise Kare
- Facebook Video Kaise Download Kare
YouTube Video Tutorial in Hindi : YouTube History Kaise Delete Kare in Hindi How to Delete YouTube History in Hindi
Is Video Tutorial se Sekhenge ki YouTube History ko Kaise Delete Kiya jata hai . YouTube par Hindi Video dekhne ke liye yaha click kare : Hindi Video
Video credit : www.hindimai.com
Is taresh ki video dekhne or update pane ke liye hindimai ke chennal ko subscribe karne ke liye click kare : Subscribe Hindimai
https://www.youtube.com/watch?v=DwlAGwOcMgE
[su_divider top=”no”]
How To Delete YouTube History in Hindi , YouTube History Kaise Delete Kare , Clear YouTube History in Hindi
mere chanel mean adds show nai hote mean kia kro plz help me
aap apne channel ke video ka kisi or computer se dekhe , kahne ka matlab kisi or IP se , kisi or dives se .
or agar aapko confirm karana ho ki monetization (ADs) On hai ki nahi . niche ke steps follow kare .
sabse pahle aap apne YouTube Account me login kare .
Fir is link par jaye : https://www.youtube.com/features
is page par Monetization me agar Enabled likha hai iska matlab aapke video me Ads on hai .