YouTube Par Kisi User Ko Block Kaise Kare in Hindi
YouTube Par Kisi User Ko Block Kaise Kare in Hindi . Friends aaj me aapko bataunga ki kaise hum kisi ko YouTube me block kar sakte hai . Agar aapka YouTube me channel hai to aapko pata hi hoga ki bahut se log aapke chaennal me aate hai or aapke videos me ulte pulte comment karte hai ya aapko paresaan karne ke kaam karte hai taaki aap paresaan ho or video na banaye aapko demotivate karne ki kosis kana chahte hai .
Friends Agar aapko koi YouTube me pasesaan karta hai ya kisi bhi karan se aap kisi user ko apne youtube channel par aane se rokna ya us user ko block karne chahte hai to aap bade hi aaram se usko block kar sakte hai or block hone ke baad vo aapko paresaan nahi kar payega . To chaliye jaldi se jante hai ki kaise YouTube Par Kisi User Ko Block Kaise Kare in Hindi .
YouTube Par Kisi User Ko Block Kaise Kare in Hindi
YouTube me kisi user ko block karne ke liye aap sabse pahle YouTube me jakar apne YouTube account me Sign in kare . YouTube ke right side me uper top me aapko Sign in ka button dikh jayega us par click kare or apne account le login kare .
YouTube me kisi ko hum kai tariko se block kar sakte hai par me aapko kuch easy tarike batata hu . sabse pahla tarika ye hai ki aapko jis YouTube user ko block karna hai uske channel me jaye or fir uske channel me jane ke baad About tab par click kare . niche image dekhe .
About par click karte hi aap channel ke About section me chale jayenge . About me jane ke baad hum is user ko yaha se blok kar sakte hai . niche steps ko dekhe ki kya karna hai .
- channel ke About me jane ke baad yaha par aapko flag ka icon dekhega us par click kare .
- Flag ke icon par click karte hi aapke samne or bhi option aa jayenge . in options me se Block user par click kare .
Jaise hi aap Block user par click karenge vaise hi aapke samne ek popup aayega . yaha par aapko Submit ka button dikhega us par click kar de .
Submit ki button par click karte hi vo user YouTube par block ho jayega or ab vo aake videos par comment nahi kar payega . to is tareh se aap jis user ko block karna hai uske YouTube channel par ja kar block kar sakte hai .
Dusra tarika ye hai ki hum usko apne video ke comment section se bhi block kar sakte hai . Agar koi aape video par comment kare or aap usko block karna chahte hai to aap us video ke comment section me jaye or us user ke comment me jane ke bad niche ke steps follow kare .
- Jis user ko block karna hai uske comment ke samne bane Tin Dot par click kare .
- Tin Dot par click karte hi aapke samse kai sar option aayenge yaha par Hide user from channel par click kar de .
Hide user from channel par click karte hi vo user ab comment nahi kar payega or vo block ho jayega . To aap is tareh se kisi bhi user ko bade aaram se block kar sakte hai . Umid hai ki aapko hamari ye post YouTube Par Kisi User Ko Block Kaise Kare in Hindi pasand aai hogi . Is information ko or bhi logo me share kare taaki unko bhi iske bare me pata chale .
[su_divider]
YouTube Par Kisi User Ko Block Kaise Kare in Hindi , YouTube Par Kisi Ko Block Kaise Kare , Kisi Ko YouTube Me block Kaise Kare , How To Block Someone On YouTube in Hindi , YouTube Me Kisi Ko Block Kaise Karte Hai .
thak’s sir is jankari ke liy mujhe bhi ek user ko block karna tha,
ha bhut sare log hote hai jo , youtube me paresaan karete hai .. aap aram se block kar sakte hai .
Thanks For Comment ,
Aapne Bahut Achi Jankari Di Hai.
nice post …
Thanks For Comment..