YouTube Video Monetize Kaise Kare or Adsense se Kaise Jode in Hindi
Aaj hum sikhenge ki YouTube Video Monetize Kaise Kare or Adsense se Kaise Jode in Hindi (How To Monetize YouTube Video and Connect with Google AdSense in Hindi) . YouTube ki pichli kai post me hum ye jaan Chuke hai ki YouTube se Paise Kaise Kamate Hai or YouTube Account Kaise Banate Hai . Dosto bahut se log apna kimti samay Facebook or internet par idhar udhar kuch karne me waist kar dete hai ya Kuch log YouTube par video dekh dekh ke time barbaad karte hai . To agar aap apne samay thoda dimake laga ke agar sahi se use kare to aap enjoy bhi karenge or in sab chijo se Paise bhi Kama lenge.
YouTube Par aap Enjoy ke sath Paise bhi kama sakte hai . Bahut se log isko full time job ki tareh bhi karte hai or isse aache khase Paise bhi kama rahe hai Lakho karodo me . Youtube se koi bhi paise kama sakta hai jaisa ki main pahle hai bata chuka hu . YouTube se Paise kamane ke liye aapko apne YouTube channel banana hai fir YouTube channal verify kar ke , Apne Channel me kuch videos dalna hai or fir Monetization on karna hai or Google AdSense se Jodna hai jo hum aaj sikhne vale hai . fir aapke video par AD aane lgenge or aapki income chalu ho jayegi .
YouTube Video Monetize Kaise Kare or Adsense se Kaise Jode in Hindi
ab hum janege ki YouTube video ko monetize kaise karte or adsense account se kaise jodte hai lakin ye karne se pahle hum ye jan lete hai ki YouTube monetization kya hai or ise samajhe lete hai to chaliye start arte hai .
YouTube Monetization Kya Hai
Monetization ka hindi me matlab hota hai “mudreekaran” (मुद्रीकरण) . YouTube par jab aap koi video upload karta hai to aap us Video me Monetization ka on kar sakte hai . YouTube Video me Monetization ka option rahta hai . Agar aap kisi video me monetization ka option on karte hai to us video par AD aane chalu ho jaate hai or aap usse paise kamane chalu kar dete hai .
YouTube Par aap un hi video ko Monetize kar sakte hia jo aapne banaye ho . Kisi or ke video ko aap Upload karenge to vo copyright ha jayega . Aap un video se paise nahi kama payenge . YouTube se Agar aap Paise kamane ki shoch rah hai to aap apne video khud banaye .
To agar aapko lagta hai ki aap apne video bana sakte hai to bus apna man pakka kar lijiye kuki jab dusre kar sakte hai to aap bhi kar sakte hai . lakin aap ye na samjhe ki aap 2 ya 3 video daal ke karodpati ban jayenge . aapko lagatar mehnat , lagan or confident rah kar hi is kaam ko karna hai . Tabhi aap successful honge .
To Chaliye Ab Jaante hai ki YouTube Video Monetize Kaise Kare or Adsense se Kaise Jode in Hindi . Pahle hum jaange ki Hum YouTube Video Ko Monetize Kaise Kare or Uske baad sikhnge ki Monetize Karne ke baad YouTube Account Ko Google Adsense se Kaise Connect Kare .
YouTube Video Monetize Kaise Kare :
YouTube Video ko Monetize karna sikhne se pahle aapko in steps ko karna hoga
- Aapko aapna YouTube Chennal Banana hoga . YouTube Chennal banana janne ke liye yaha Click kare : YouTube Channal Kaise Banaye
- Aapko apne YouTube Chennal me 2, 3 Video Upload karne padenge . Upload ke bare me janne ke liye Click Kare : YouTube par Video Upload Kaise Kare
- YouTube Account Verify karna padega . YouTube Account Verify karne ke liye Click kare : YouTube Account Verify Kaise Kare
Me ya maan leta hu ki aapne apna YouTUbe channel bana liya hai or usme 2 , 3 Video bhi upload kar diye hai or youtube Account Verify kar liya hai . To ye sab karne ke baad ab hum apne video ko Monetiza kar sakte hai . YouTube Video Monetiza karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare :
[su_highlight background=”#e80029″]Step 01: [/su_highlight]
YouTube Video me Monetization on karne ke liye sabse pahle aapko apne YouTube Account me login karna padega . To sabse pahle aap apne YouTube Account me Login kare .
[su_highlight background=”#e80029″]Step 02: [/su_highlight]
YouTube Account me Login Hone ke baad . Aap YouTube ke Left side me dekhe jaha par Channel Likha huva hai vaha click kare . niche image dekhe .
[su_highlight background=”#e80029″]Step 03: [/su_highlight]
Ab aapke samne YouTube ka page open hoga us page me uper middle me jaha par Video Manager likha hai vaha par click kare . Niche image dekhe .
[su_highlight background=”#e80029″]Step 04: [/su_highlight]
Video Manager par click kare te hi aapke samne ek page open hga vaha par . aapke sabhi YouTube par Upload kiye huve Videos Show ho rahe honge .
Un Videos ke samne aapko sirf Earth ka icon bana huva dekhega . vaha par aapko $ ka icon nahi dikhega . $ ka icon nahi hai iska matlab hai aapke video me Monetization ka option enable nahi hai ya aise samjhe ki aap apne video se paise nahi kama rahe hai . inche image dekhe.
[su_highlight background=”#e80029″]Step 05: [/su_highlight]
Apne YouTube Account me Monetization Enable karna ke liye kuch steps karne hai . niche image dekhe
- CHANNEL par Click kare
- Ab is page par Monetization ke aage “Enable” ka button hoga us par click kare de . par yaad rahe ise karne se pahle apna ayouatube channel Verify kar le . Upar ki image ko dekhe .
[su_highlight background=”#e80029″]Step 06: [/su_highlight]
Ab aapke samne new page aayega . Yaha par aap Enable My Account ki button par click kar de.
[su_highlight background=”#e80029″]Step 07: [/su_highlight]
Enable My Account ki button par click karte hi aapke samne new page open hoga YouTube Monetisation Agreement ka .
- Yaha par aap YouTube ki sabhi Terms ko maane . Tik kare
- Fir , I accept ki button par click kar de .
[su_highlight background=”#e80029″]Step 08: [/su_highlight]
Ab aapke samne ek page aayega Monetize my videos ka . yaha par youtube aapko Ad Formats dikha ra hai . aap yaha par kuch change na kare . Monetize ki Button par click kar de . niche image dekhe .
Monetize par click karte hi aapke video me Ad aane lagegi . par isse aapko income nahi hogi iske liye aapko apne YouTube Account ko Google Adsense se Connect karna padega . hum aage sekhenge ki YouTubr ko Google Adsense se kaise connect karte hai .
[su_highlight background=”#e80029″]Step 09: [/su_highlight]
To Ab Hamre Video me Monetization on ho chuka hai . Agar hume confirm karna hai ki On huva ki nahi to . Hum Video Manager me ja ke pata kar sakte hai .
- VIDEO MANAGER par click kare (Uper Image dekhe)
- Uske baad ek page open hoga yaha par hamre upload kiye huve sare video honge . Un Video ke aage agar $ ka icon hai to iska matlab hai ki aapke account me Monetization on ho chuka hai .
Monetization on karne ke baad ab hume YouTube se paise kamane ke liye apne account ko Google Adsense se connect karna hai . chaliye dekhte hai ki kaise Adsense se connect karta hai .
YouTube Accunt Ko Google Adsense se Kaise Jode in Hindi
YouTube Video ko monetize karne ke baad. Hume google adsense se YouTube account ko connect karna hai kuki google adsense me hi paise aate hai to vahi se sab ads or kaafi kuch contorl kiya jaata hai . iske bare me jyada jankari aane vali post me di jaayrgi .
Agar aapke pass Google Adsense nahi hai to bhi aap YouTube ke jariye Google Adsense Account bana sakte hai . abhi hum niche janege . jab hum youtube account ko google adsense se connect karte hai to hum AdSense Account ke liye Apply karte hai .
YouTube ke Jariye agar aap Google AdSense ke liye apply karta hai to Google Adsense Account Approve hone ke 99 % chance hote hai . Par isse jo Google Adsense account banega vo Hosted Adsense Account hoga (YouTune ke liye) . Hosted Google Adsense account ko aap bad me , agar aapki website ya blog hai to Adsense me use approve karva ke , full adsense account me covert kar sakte hai .
Apne YouTube Account me Monetization On karne ke baad Google Adsense se Connect karne ke liye Steps Follow kare :
[su_highlight background=”#e80029″]Step 01: [/su_highlight]
- CHANNEL par click kare .
- Ab jo page aayega vaha par aap dekhenge ki . Monetization ke aage Green (Hara rang) color ka Button aa gaya hai kuki hum monetization on kar chuke hai . vaha par samne ki line me View monetization setting par click kar de . (Step ko samajhne ke liye uper ki image ko dekhe).
[su_highlight background=”#e80029″]Step 02: [/su_highlight]
Ab aapke samne Monetization ki setting ka page open hoga .
- How will be paid ? par click kare .
- Uske baad associate an AdSense account par click kare (Upar image dekhe) .
[su_highlight background=”#e80029″]Step 03: [/su_highlight]
Ab aapke samne ek page open hoga . vaha par Yes, proceed to Google Account sign in par click kare . Apne Google (Gmail) account me login kare .
[su_highlight background=”#e80029″]Step 04: [/su_highlight]
Ab hume Google Adsense account ko Adsense account se connect karne vale hai .
- Bhasa (Language) select kare .
- Continue ki buton par click kare .
[su_highlight background=”#e80029″]Step 05: [/su_highlight]
Ab aapke samne Google Adsense sign up Forum aayega . Hume isse Bilkul sahi sahi bharna hai . apna addresh or sab kuch kuki baad me google adsense ke taref se us pate or name par verification code bheja jata hai . jo ek lifafe me hota hai jise dekh kar aapko code ko apne adsense account me dalna hota hai . uske baad hi aap adsense se paise le sakte hai .
is Forum me jaya par payee name hai vaha par apna sahi name daale jo aapke bank account me ho , kuki payee name me jo name dalenge paise ussi ke name par aayenge or jab aap baad me adsense account se apne bank account ko paise lene ke liye connect karte ho to same name se bank account hona chahiye .
Adsense Account apply jo bhi kare uski umar (Age) 18 saal se jyada honi chahiye . Agar aapke pass bank account nahi hai ya apki umar (Age) kam hai to yaha par kisi bharose vale aadmi jaise aapke father , ya aisa koi jis par aap bharosa kar sake uski information daal de . Par yaad rahe aap baad me Payee name change nahi kar sakte . To aap jiska bhi name ya apna name daale vo baad me badalta nahi hai or jiska name daale uska bank account me bhi same name hona chahiye .
maire hisab se aapko apna hi dalna chahiye , bank account nahi hai to khulva le .
- Country or territory : Yaha par Country (Desh) Select kare .
- Time Zone : Yaha par aap apna time jone select kare .
- Account Type : account type select kare . Hum akele hai to hum yaha par Individual select kare .
- Payee name : Yaha par name dale . jo name dalenge uske name par paise aayenge , us name se bank me account hona chahiye . ise aap baad me change nahi kar sakte .maine iski importance ke bare me uper bhi aapko bataya hai.
- Street address : Yaha par address (Pata) daale . sahi pata dalna hai . ussi pate par google se Address Verification ke liye code bheja jayega.
- City / Town : apni city ka name dale .
- State : apna state select kare .
- PIN Code : Yaha par PIN Code dale
- Contact Name : Yaha par apko apna pura name bahrna hai .
- Phone : yaha par Mobile number daale .
- How did you get to know Adsense ? : aapko Adsense ke bare me kaha se pata chala . vo select kare .
- Email preferernces : Yaha par sabhi yes par tik kar de.
- Forum ko sahi se bhrne ke baad ab aap Submit my application par click kar de .
Submit my application par click karte hi aap . YouTube par chale jayenge or aapko niche di gai image jaisa massage dekhega . Jiska matlab hai ki aapki adsense account ke liye application submit ho chuki hai . or aapko google se 1 hafte ke andar aapke googl adsense account ke status ki jankari mil jaayegi . ki aapka google adsense account approve hota hai ki nahi .
Ab Humne apne Apne YouTube Video me Monetization ka option bhi on kar deiya or Apne YouTUbe Account ko Google Adsense se connect bhi kar diya . Ab aap ache ache Video banaye or YouTube se Khub Paise Kamaye.
Dosto aapko yah post YouTube Video Monetize Kaise Kare or Adsense se Kaise Jode in Hindi kaisi lagi hame commect kar ke jarur bataye . Agar aap YouTube ke bare me ya internet kisi or subject me kuch puchna chahte ho to comment jarur kare .
[su_divider top=”no”]
YouTube Video Monetize Kaise Kare or Adsense se Kaise Jode in Hindi , Monetize YouTube Video in Hindi , How to Link YouTube With Google Adsense in Hindi , Enable Monetization On YouTube in Hindi or Paise Kamaye
mera name Rajkapoor Rathaur he Maine apna YouTube account bhi bana liya he video daalke monitize bhi kar liya he video k samne green color aur ka dollars k aur blue color ka chinh he ab Mai use google adsense se jod raha hu to ho nhi raha he last m save and continue likha he uspe click karte he to Wah Bahut der tak aise hi rahta he pag khulta nhi he Mai kya karu
Raj aapne kaha ki aapne monetization ka option on kar liya hai or aapke video ke samne Green color ka $ ka nisaan aa gaya hai .
Ab aapko Apne YouTube Account ko Google Adsense se jodna hai . par aap ne kaha ki save and continue likha aata hai or fir kuch nahi hota hai .. To me samajhta hu ki aapke internet slow hone ki vajah se aisa ho sakta hai . to aap ek baar jarur chek kare ki aapka internet connection thik ho . or fir
Is post me jo steps bataye gaye hai YouTube Account ko Adsense se jodne ke unhe vapes se Try kare.
very nice sir aapki hindi boot achhi lagi thanks for guidance
Thanks For Comment .
Sir mere pas ek website hai aur 3 channals hai to kya mai teeno channals me ek website ka link de sakta hoon aur AdSense se link kar sakta hoon
Hasan ali khan pahle aap ye bataye ki aap adsense ka liye kaise apply karenge …
YouTube se ya apni website se ?
new comment kare .. iska reply na kare ..
thanks
You tube se apply karunga sir
Aur pleas muje ye bhi batayen ki ad to playlist me kya likhu aur ye kyo zaruri hai
Sir abhi takk aapne reply nahi kia… Mai you tube se AdSense account me aply karne ke liye website ki zrurat lagegi lekin mere youtube par 3 accounts hai uske liye mujhe alag alag website banani padegi ya ek ko hi sabhi youtube account me dal sakta hoon
Sir mere channel par abhi takk ad ana chalu nahi hua iske liye kya karna hoga
apne video ko khud na dekhe .. monetization on kar de or ads aayenge .. kisi or ke login se ya dusre computer se (different IP se ) video check kare .
Hello sir bhasha select karne ke baad jab mai save and continue par click karta hoon to vo vahi par rukk jata hai aage kuchh process hi nahi hota aur na hi Google AdSense sign up forum ata hai … Kya karu sir (thescfilms.com)
sir mere youtube video pe add start ha.video maneger ma dollar,va blue logo bhi ha.adsense sa mail bhi 2 agust ko aagai ha.accunt apru go gaya ha.2 agust ke bad karib 1200 se jyada views bhi badh gaye.lakin income abhi bhi 0.00$ bata raha ha.kyo age kuch karna ha to batao .
ok.. great .
aapke YouTube Video se jo income hui hai vo aapko next month ki 15 tarikh se pahle adsense account me dikh jaayegi .itna time lagta hai . aap videos banaye or video views , YouTube Channel subscribe badhaye..
Apka post se hum youtube ke puri jankari samjh gai leken address per jo google addsence verification code aye ga useaye kya hoga
Google adsense se jo PIn Code aapke address par aayega us code ko aapko Google adsense me dalna padega tabhi aapka account verify hoga or aap payment le sakte hai .
Googld adsense mai Kha per dala jata hai code jo address per aye ga
jab aapke google adsense account me 10 $ se jyada ho jayenge . tab aapko apna address virify karna padega . google adsens me 10 $ hone ke baad google aapke address – google adsense account me , aapka address hoga us pate par code ko send kar dega .. vo code aapko 2 se 4 hafte me milega .. us post ke ander code hoga usse google adsense account me dalna hoga tabhi aapke account me address verify hoga or aap paise prapt kar sakte hai
Sir maine 14.07.2016 ko main adsene submit keya aur raat mai mail aya ke -[[Congratulations your account is now fully approved
Welcome to AdSense! We look forward to a long and successful partnership together.
If you’ve already placed ad units on your site, you’ll begin to see live, relevant ads, and can start earning money from your online content within a few hours.
Make sure to place AdSense ad units on every page you want to show ads. You can add your AdSense ad code to any new page or site that complies with our program policies at any time]}
matlab mera account approved hogya .but hum ko ads nahi show kar rahai youtube jab ki monetization on hai pls helpme
kai baar vo hame ad show nahi karte hai .. aap kisi or ke login se youtube chlaye ya fir kisi or computer se apna video dekhe (alag IP number se)..
Tell me please
Sir please help me .maine 14.07.2016 ko main adsene submit keya aur raat mai mail aya ke -[[Congratulations your account is now fully approved
Welcome to AdSense! We look forward to a long and successful partnership together.
If you’ve already placed ad units on your site, you’ll begin to see live, relevant ads, and can start earning money from your online content within a few hours.
Make sure to place AdSense ad units on every page you want to show ads. You can add your AdSense ad code to any new page or site that complies with our program policies at any time]}
matlab mera account approved hogya .but hum ko ads nahi show kar rahai youtube jab ki monetization on hai pls helpme
aap apna video kisi or login se dekhe ya fir kisi or computer se apna video chalaye .. agar aapke youtube account me monetization on hai to YouTube Video par Ads jarur aayenge ..
aap ek kaam kare aap pane youtube video ka link yaha par comment me post kare de . hum bhi chek kar lete hai …
sir mre monetiz ke aage green col nahi dikh raha hai batay sir kya bat hai
monetiz ke aage green button tabhi dekhega .. jab aap apna YouTube account verify karenge ..
YouTube Account Vrify karne ke liye ye vala post padhe : http://www.kaisekamaye.com/youtube-account-verify-kaise-kare-verify-youtube-channel-hindi/
Sir channel name or payee name same rahana chahiaye liken apka channel name kya kaise hai
channel name kuch bhi rakh sakte hai .. google adsens me payee name me apna name dalna hai . jo aapka bank account me hai .. post ko dubara se padhe : http://www.kaisekamaye.com/youtube-video-monetize-kaise-kare-adsense-se-kaise-jode-hindi/
Minimum kitna video jaruri hai adsence apply karne keliaye
minimum 1 video .. but mai aapko bolunga ki 5 video ke baad hi apply kare
Youtube per jo ads ka dhekhene se $rs badhta hai ya phir ads ka link per click karne se.Aur ak ads per kitna rs deta hai youtube
Youtube per jo ads ko dhekhene se $rs badhta hai ya phir ads ka link per click karne se.Aur ak ads per kitna rs deta hai youtube
iss post ko acche se padhe ki youtube se paise kaise kamate hai or kaise hame milte hai or kitna milta hai .
http://www.kaisekamaye.com/youtube-se-paise-kaise-kamaye/
Ye pasie Mere bank account me Kaise aayege. ..
Iskeliye kyaaa karna hoga
google adsense se aap paise ko apne bank account me direct transfer kar sakte hai ya fir chek dvara apne bataye huye pate par prapt kar sakte hai ..
adhik jaankar kr liye is post ko dyaan se padhe : http://www.kaisekamaye.com/youtube-se-paise-kaise-kamaye/
Kese music,song, etc ko hum mix banakeaye youtube per upload kar rahai toh copyright show kar rahai
ha kuki music kisi or ka hai … YouTube par apne video hi bana kar dale
Sir monitize karne ke liye kitne veiw hone chaiye
kitne bhi .. but youtube me kuch video jarur upload kar de .. 5 6 video upload kare or thode time ke baad monetize kare ..
Thanks bro
welcome..
Andariad phon me video meneger nhi mil raha he
YouTube App me aapko video manager nihi milaga .
usko dekhne ke liye . apne phone me kisi bhi browser ka use kare or https://www.youtube.com par jao .
or fir youtube khulne ke baad , right side me tin dot dekhnge us par click kare .
jo option aayege usmne se Desktop ko select kare .
Desktop par click karte hi . mobile me desktop version youtube aa jayega .
2nd option …
mobile me kisi bhi brower ko open kare or ye link par jaaye .
https://www.youtube.com/my_videos
SIR JAB HAM GOOGLE ADSENCE MAI AAPNA 2ND KAM KARNE KE BAD MERA FORUM NAHI KHU RAHA HAI USKE BADLE MONETIZE EKH RAHA HAI USKE NICHE YOUR ADSENCE APPICATION HAS BEEN SUBMITED AND BEAING REVIEWED
LEKH RAHA HAI KYA KARE SIR PLZ HEP ME
YOUR ADSENCE APPICATION HAS BEEN SUBMITED AND BEAING REVIEWED – ka matlab hota hai aapki adsense application submit ho gayi hia or review hogi , aapko mail aa jayega approval k baad .
approval ke bad matalab kya sir plz explian se batay
sir mere address par kab verification ke lie ae ga or kya chij aae ga? post se ae ga ya ghar par
Aapke address par address verification ke liye google se post aayega , jab aap google adsense me 10 $ ke asspass kama loge tab .
sir jab ham you tube + addsence account bana rahe the to 2 step hua or 3rd step mai mera information ka forum nahi manga or direct tick mark blue color mai or kuch likh raha tha .
to kya sir mara adsence ho gaya kya you tube par add dega kya ham ab kama sakte hai na
plz help me sir
link hote hi aake youtube video me aapke video ke aage $ ka nisan aa jayega .
Apne YouTube Account me login kare or iss like par jaye : https://www.youtube.com/my_videos?o=U
sir kya aap aapna no. de sakte hai aap se ache se bat kar ke solution ka hal lena hai plz help me sir and belive me . sir
sir ham aapne paritents ko dekhana chahte hai ki ham bhi paisa kamate hai
plz sir
your obitently student
naveen pal
Google payments se yani Google Adsense se aya hai mail
i do not know ea kesa mail hai jo mere mobail par aya hai jis mai likh raha hai ki thanks your email address has been verified contact or help ka option ara hai jis mai ham contact par click kar ne par
likh raha hai ki please explian my payment phir niche form name devit card account no. etc mang raha hai iska mat lab kya kah raha hai ?kya kare
sir aaj aap ka comment ka intajar hai plz help me sir
kaha se mail aaya hai .
saval clear kare .
Google payments yani Google Adsense se aya hai
jo mail aaya hai use comment me dale ..
bank account me paisa Kaise aayga
iss post ko pade sab samajhe me aa jayega .
http://www.kaisekamaye.com/youtube-se-paise-kaise-kamaye/
YouTube Accunt Ko Google Adsense se Kaise Jode in Hindi
Step 04: se aage nahi badh taha hai sr
【Save and continue】 nahi ho raha
kaha par save and continue nahi ho ra .
awesome info yaar thanks/ (hindiguide.net)
welcome..
I will try.
Bhai muje help cahiye me Janna chta hu Adsense ke liye apply karne se phle mujse kitne subscriber ona cahiye or kitne video or kitne view hona cahiye please help karo Bhai me ek Prank channel open karna chta hu
koi bhi subscriber count , video count ya views ki jarurat nahi hai youtube se adsense ke liye apply karne ke liye . par kuch video hone chahiye ad dalne ke liye.
aap agar mairi maano to aap apne channel me 5 video upload kare . or fir youtube se adsense ke liye apply kar de ..
but aap paise tabhi kama payenge jab aapke channel par subscriber jyada honge or views bhi ho … par aap suruvat kare vo to baad ki baat hai … dhire dhire sab ho jayega …
ache video banaye . kisi dusre ke video na dale …
Oye yar Bhai mera monetize Jo hai
Wo Ineligible hai enable nhi hua
Mai apna channel b verified krlia hai
Lekin monetize enabled nhi hua
Is ki kia waja hu skti
Plz mujhe bitain
monetization ke liye kab apply kiya tha ?
1 min me nahi hota ..
youtube ko adsence se jodne ki liye kitne view aur old channel ki jarurat hai.
adsense se hum paise kamane ke liye jodte hai or paise tabhi kama payenge jab aapke channel par views honge . adsense se jodne ke liye koi condition nahi hai . kabhi bhi apply kar sakte hai .
sir me jab mere channel ko adsense se jodne ki kosis kartya hu to 1st stage clear ho jati hai par 2 bar SAVE AND CONTINUE kai option aata hai es se age prosses nahi hoti hai
sir maine wo form fillup nhi kiya jisme banking details hoti hai but adsense approve ho gya
OK.. aapke pass Adsense se mail aaya..?
Bhai mere youtube channel par video me add ane lage hai or $ sign bhi ane laga hai par monetization me not eligible bata aa raha hai kya problem hai ye jaldi batana yaar
kisi or ka video upload na kare . or kisi dusre ka music apne video me na lagaye nahi to monetization nahi kar paoge.
sir mane mere videos ko monotigestion bhi kar diya or adsnt account bhi youtube se jhudh diya hai or mere email pr google ki or se sms bhi aa gaya ki mera account approvad hu gaya to ab muje aage kya karna hai? adsnt account me kese ropye aaye ge
bahut acchi baat hai 🙂 . aage aap apne youtube channel par video upload kar or fir aap dekhenge ki aapke video ar ad aane lagenge .. or unse jo kamai hogi vo aapke adsense account me aayenge .
Pahle jab Mene monetize kra tha to jab ad AA rhe the par Abhi monetize kra to ad nhi aaye plz mujhe Kiya krna padega .Plz.
har bar ad nahi aate hai . apne video khud na dekhe nahi to problem ho jayegi .. bus ache ache video banane par dyan de .
sir save and continue ke baad information ka google adsense per page nahi open ho raha hai
Kya aa raha hai detail me bataye ?
Are ye monetisation adsense se connect me website wala option kyu clear nhi ho rha h.
Sir mere YouTube mai chennal ka logo nhi aa rha hai please help kro
kaha logo nahi aa raha hai ?
agar aapne youtube channel me logo set kiya hai to update hone me thoda time lagta hai , turant nahi aata hai .
vo google+ me update hota hai or fir youtube par show hone lagega . tension lene ki jarurat nahi hai . a jayega .
Sir,google adsense se pincode jab aaega tab kese code enter karna he…
shiv, jo pincode aapko adsense post se milega usko aapko apne adsense account me login kar ke dalna padega verify karne ke liye .
hello sir,
mera mozitize bandh hua hai wo chalu nayi ho raha hai
kon sa monetization band huva hai saval ko sahi se pura puche , website me ya youtube me , kya problem hai account me logi ho ra hai ki nahi sab details me bataye.
sir kya aap ka whats app no mil shakta hai.
aapko kya kaam hai , bataye , puri madat milegi .
Sir mere pas andoride mobile nhi.. to bhi kya me apani google absence id bana sakta hu ?
Kisi computer ka istemaL kar le. Jisme Internet ki suvidha ho.
Sir maine YouTube per channel bana liya hai aur ush me maine 4 video upload bhi kar liya hu per ab adsence se conect karne ka step bhi follow kiya per bhi conect nhi ho raha hai..to kya video ke 10,000 views hona jaruri hai tabhi conect hoga kya??help
Bhut acchi baat hai ke aapne youtube par channel bana liya or usme 4 video bhi upload kar diye . Bhut se log bus sochte rahte hai or karte kuch nahi hai . To rahi adsense se connect karne ki baat , new youtube police ke hisab se jab tak aapke youtube channel par 10000 views nahi ho jate tab tak aap monetization ke liye eligible nahi hote. to or jyada se jyada video banaye or views 10000 se jyada kare or fir monetization ke liye apply kare
hello sir,
Hello arpit
sir mere video maneger me google urth ke bagal me $ simple nhi show kar rha hai blki (c) fir google urth r neeche Includes copyrighted content
copyrighted aa ra hai iska matlab ye hai ki aapke video me kuch copyright hoga . aapne apne video me kya dala hai .. kisi ka video or music use na kare .
mera acount 2015 ke karib ka hai tb mei use nhi karta tha mgr idhar meine use kiya r bhut se video dale hai tab mera acount very fy nhi tha mgr meine apne ke kaise kamye apke madd se mene sari formlti bhari form fill kiya ads.. acount open bhi kiya mgr aesa ho rha tha iski kya vajha ho skti hai r adsons acount pe jab agree ka tik ki bjaye mene galti se kat kar diya mgr ads.. acount pe bhi green ka tic show kar rha hai..
r iske age ke proses ke bare me jankari karna chahta ho
agr apko time mile pls rpy kar dijiyega meri mail id par ok sir
ok .. hum aapki help jarur karenge . aapse hum email ke jariye contact karenge . aapko jo problem ho rahi hai uska screen shot ke saath bheje hum email par sab likhe kar bheje.. agar aap computer ka use karte hai to accha rahega .
Sir Aapka Email id ya phone no. Do na Mai Aapko ak image bhejunga vo kis liye hai aap Btana na Mai You tube abhi bna rha hu . To YouTube ke baare me jyada ni janta .pls Give me your no. Or email ld. (mworldwalk.blogspot.in)
Apna Email de. hum contact kar lenge.
Email id ya phone no. Do na Mai Aapko ak image bhejunga vo kis liye hai aap Btana na Mai You tube abhi bna rha hu . To YouTube ke baare me jyada ni janta .pls Give me your no. Or email ld.
email : shravan@kaisekamaye(dot)com
sir maine ne payee name or apna bank ac mai jo name diya hai ohh 18 se kam hai ab mai kya karu mera new chainel hai ab mai fir se edit karna cha rha hu to ohh open nhi hoo rha content infometion help mee
goole adsese terms ko ek bar padhe : https://www.google.com/adsense/localized-terms?hl=en_US
is page me jane ke baad location me india select kare . or acche se padhe , isme saf saf likha hia ki adsense se payment pane ke liye 18 yr hona chahiye or ek account hi ek vyakti ko allow hai
Sir monetizetionon. Ka dusra step adsense account par click karke on karte hi start aata h uske baad start par click karte hi new page to aata h par aata kuch ni blank hota h sabkuch matalab kuch ni aata white screen aa jati h.
boby .. aap hame jo steps le rahe hai uska screen shot le kar bheji … hume samjhne me aasani hogi .. tabhi hum aapke help kar payenge. Or aapko pata hona chahiye ki jab tak aapke youtube channel me 10000 views nahi ho jate tab tak monetization nahi hoga. Thanks
Sir Email kiya hu uska Answer do na
ans de diya hai email check kare .
sir maine ne payee name or apna bank ac mai jo name diya hai ohh 18 se kam hai ab mai kya karu mera new chainel hai ab mai fir se edit karna cha rha hu to ohh open nhi hoo rha content infometion help mee .
Dear Sir,
mera naam Ankit kumar hai..sir mujhe sirf apse itni help chahiye ki me kon sa kaam karun- JOB ya BUSSINESS?
mera february 2018 me 12th ka final exam hai…….sir hum kaise aage badh sakte hai ek job me ya apna khud ka bussiness karke ek safal insaan kaise ban sakte……..
sabse jyada faayda job me hai ya bussiness me?
please sir mujhe vishwaas hai ki ap hamari madad zaroor karenge sir….
mujhe apka contact no. chahiye sir…..
SAbse pahle aap Man laga kar . 12th ko pass kare . sara dyaan abhi padhai par rakhe . 12th ke baad dekhe ki aapko kya aacha lagta hai, or aapke ghar ki paristhiti kaisi hai . isse jyad me kuch nahi bolunga , jab aap 12th kar le fir baat karenge .
Sir mene apne channal me pahle koi videos nahi dali to mene monetize kar di lekin bad me dal di lekin unpar $ icon nahi aa raha hai to me kya karu lekin monetize kar raha tha to 4 line me 10,000 view mag raha tha kahi is Ki bajha se to nahi aa raha $ icon please reply fast…………….
YouTUbe pe ab new niyam banaye hai , jab tak aapke chennal par 10000 views nahi aayenge tab tak $ icon nahi aayega , matlab aap Monetize nahi kar sakte .koi problem nahi hai . apne chennal me video upload kare , jab aapne chennal par kul mila kar 10000 views ho jayenge to aap fir videos ko Monetize kar sakte hai, uske baad $ icon aa jayega .
Sir apse kuchh ray lene ke liye me apna WhatsApp no. De raha hu98********
Sir apse kuchh ray lene ke liye me apna WhatsApp no. De raha hu98******** ya fir fb account kapilkata***@fb par sharch kar sakte ho
Hamare Facebook page par ja ke message se baat kare : https://www.facebook.com/kaisekamaye/
Sir kese bhi mujh she contect karo
Kapilkat*******gmail.com or fb par Kapil Hindu Barsana sharch me
https://www.facebook.com/kaisekamaye/ hamare page par jaaye or message kar ke baat kar sakte h
creator studio ka option kab. ayega
Ur great bro great idia but ye bataiye ki kitne subscriber aur views milne ke baad vedio monetize kar sakte hai reply plz bro I’m wait meri vedio me 800 views mil chuke hai kya mai ise monetize kar sakta hu koi problems to nhi hogi
aapke videos pe total 10000 views hone chahiye tabhi aap youtube video ko monetize kar sakte hai . Subscriber count se koi lena dena nahi h . Thnaks
sir , 30,000 view hai par monietiozation नहीं हुआ है 30,000 view के पैसे मिलेंगे
monietiozation nahi on hai to paise nahi milenge .
Nice Article Bro.. (janbharattimes.com)
Sir Mera channel monetization ho gaya hai lekin dollar ka icon Nahi dikh raha hai video bhi uplodes kar do hai
aapne apne youtube channel par monetization ka option on kiya hai vo check kare . ya fir us video manager mee ja kar us video ke edite ke option par click kare or check kare monetization ka option on kiya hai ki nahi .
Humko 10000 view Kaise milega apne se view kar sakta hai ?
Aap bus video banane me focus kare . un topic par video banaye jo log jyada search karte ho . ya is time jo jyada chal ra ho . views badhne lagenge , video banaye . video ni rahenge to 10000 viwes lw kw kya karoge . monetization on kar ke .. video video video !
Hi mere channel par 6 video dale huye he or monetize bhi kiya huaa or adsense se bhi jod diya magar pichle 4 5 mahine se ad nahi aa rahi he pehle to aati thi ab muje kya karna chahiye
Meri anumanit aay bhi bata raha tha
youtube ne new rules banaya hai , jab tak aapke youtube channel par 10000 views nahi honge tab tak aapke video me ADs nahi aayenge . Isme darne ki baat ni hia aap video dale jab 10000 views aapke videos par ho jayenge tab Ads aane lagenge .
Thanks sir
Hiii bro plz help me my email id [email protected] plz reply I’m youtuber
aapko kis type ki help chahiye ..?
sir mai abhi 15 year ka hun Maine new blog website banai hai AdSense Account banane ke liye 18 year ka hona jaroori hai kya plz sir batayie..
ha 18 saal k hone k baad hi aap adsense account bana sakte hai , ye adsense ki policy h hai, varna aap kisi or k name se bana sakte hai jo 18 saal ka ho par vo sahi ni hai kuki fir adsense uske account uske name par hoga or jiske name se account hoga ussi ka bank account usme lagta hai or paise usi me aate h ..
mera sab ho gya hai mgae abhi tak na to monu taej par hra batan aya hai aor na $ ka nisan aya hAI video ko edit kro to motaej ka apsan nahi ata hai kewal tarans let ka apsan ata hai ab mai kya karo
Youtube ne apni monetization ki policy me changes kiya hai , monetization k liye kam se kam aapke youtube channel p 1000 subscriber hone chahiye or kam se kam aapke videos par 4000 ghante ha watch time hona chahiye, tab aap monetization k liye aapka channel applicable hoga . tabhi aapke channel m monetize ka option aayega or $ ka sign dikhaga .
sir mera naam sharif ahmed he mujhe ye jan na he ki ye prkiriya kitne video ya kitne view ho jane ke baad karna he kya 4-5 video upload karke kiya ja sakta he plz jawab dein
new youtube police k hisab se youtube videos ko monetize karne k liye ye sarte hai – aapke youtube channel p pichle 1 saal me 1000 subscribe hone chahiye or aapke videos me total watch time 4000 ghante (hours) se jyada hona chahiye .. tabhi aap monetization k liye apply kar sakte h .
Hlo sir . Meri ek video pe mene ads chaalu ki to dollers ka color green tha or agle din uska color orenge ho gya to btaiye esaa kyu hua
yellow icon hota hai uska matlab – Video is not considered suitable for all advertisers. kahne ka matlab ye ki aapke video ka tittel ya jo usme tags aapne use kiye honge vo advertisers ko pasande ni h .. apne video ka tittel change kare koi ganda ya hacking ye type kuch na rakhe …
थैंक्स भाई ,मेरे दो सवाल कंफ्यूज थे 2 महने से दूर कर दिया आपने ,मोनेटाइज enble और एडसेन्स यूट्यूब अलग अलग प्रक्रिया में होता है ,
अब मेरा दूसरा सवाल ये है की मेरा पहला चैनल ‘technical by dheeraj ‘ bnya है
1. सवाल उसमे वीडियो में डॉलर का निशान नहीं आता है आपने जो बताया वो प्रोसेस मने देखा 10 ,000 view (कई वीडियो में देखा ) के बाद होगा या पहले भी हो जएगा ये कन्फर्म करना था
2 . सवाल अगर उसे gmail से दूसरा चैनल बनाये तो क्या उसमे वेरीफाई उस मोबाइल से करना है जो मने पहले चैनल का किया था
और साथ में मोनेटाइज enble करना पड़गा या नहीं
और भी कई सवाल है मेरे, प्लीज आपके whatsapp no dena या कोई तरीका बातये जिससे आपसे सवाल पूछ सकू l
हो सके तो ये सवाल प्लीज मेरे व्हाट्सप्प पर 9992324737 या जीमेल पर [email protected] बातना सर
आपका एहसान नही भूलंगा थैंक्स
1. youtube ki new police ke hisaab se pichle 12 mahjine me .. aapke youtube channel me kam se kam 1,000 subscriber hone chahiye or 4,000 watch hours ka watch time hona chahiye (pichele 12 month m ) .. ye niyam 20 feb se laagu hai .
2. aapko new channel bannane ki kya jarurat hai ? …..
Great post thank you so much for sharing this… i really needed this
Very helpful article bro thanks for sharing your knowledge keep it up
Thanks For Comment Amjad !
Hello.This article was really good, i love it.
Thanks For Comment Rajat !!
App ka article bohat acha hai.. Plz meri madad kerain… Mai ne 2016 main youtube account or google Add scene account banaya tha.. Lakin us main koi video upload nahi ki thi… Kiya main ab bhi video upload ker k monitize ker sekta hoo? Ya new account banao?
Aap usi me video upload kare new account banane ki jarurat nahi hai , youtube ki new polices aayi hai 2018 me, aap hamari is post ko padhe or samjhe : https://www.kaisekamaye.com/youtube-se-paise-kaise-kamaye/